Ya Nabi Ya Mohammad Salam Alaik
یا نبی یا محمد سلام علیک
Ya nabi aaye hain ham gunahgar phir
Dar pe haazir hain maula khatakar phir
Bakhshisho'n ke hain tere talabgar phir
Ik nigah e karam mere sarkar phir
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Ya Mabi ya Mohammad salam alaik
Ham to aasi hain or tum ho bakhshish raqam
Ham gunahgar hain tum shafi ul umam
Ham hain zulmat main aur tum ho sham e haram
Ham sarapa khata tum mujassam karam
Ya Mabi ya Mohammad salam alaik
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Tum ho sarkar mahr e nubuwat liye
Ham gurbat ul watan zauq e taa'at liye
Tum ho daman main darya e rahmat liye
Ham hain aankhon main ashk e nadamat liye
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Ya Mabi ya Mohammad salam alaik
Taj sar par tumhare hai laulak ka
Or nachiz zarra hun main khak ka
Noor aankhon main ho rauza e pak ka
Hai madawa yehi qalb e sad chak ka
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Hai yehi Aarzoo is gunahgar ki
Keh rahi hai yehi ab to dil ki lagi
Tum kaho ummati ummati ummati
Main kahon ya Nabi ya Nabi ya Nabi
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Ya Nabi ya Mohammad salam alaik
Waheda Naseem