Naat Academy Naat Academy
Topics

Ahl-e-Bait

A curated collection of poetry, naat, and classical kalam.

8 Ashaar
1 Kalams
All Topics
Ahl-e-Bait Topic Collection

Top Ashaar on Ahl-e-Bait

8 Shers

Naakaara Hasan Aap Ke Darbaar-e-Karam Ka

Mangta Hai Yeh Mangta Hai Yeh Mangta Hi Rahe Ga

Maqta

ناکارہ حسنؔ آپ کے دربارِ کرم کا

منگتا ہے یہ منگتا ہے یہ منگتا ہی رہے گا

Kya Lutf Ho Aaqa Mujhe Mehshar Mein Yeh Keh Dein

Mera Hai Yeh Mera Hai Yeh Mera Hi Rahe Ga

کیا لطف ہو آقا مجھے محشر میں یہ کہہ دیں

میرا ہے یہ میرا ہے یہ میرا ہی رہے گا

Jab Tak Na Mile Gi Teri Khairaat, Yeh Daaman

Phaila Hai Yeh Phaila Hai Yeh Phaila Hi Rahe Ga

جب تک نہ ملے گی تیری خیرات، یہ دامن

پھیلا ہے یہ پھیلا ہے یہ پھیلا ہی رہے گا

Yeh Naam-e-Muhammad Hai Ke Rahmat Ka Samandar

Behta Hai Yeh Behta Hai Yeh Behta Hi Rahe Ga

یہ نامِ محمدؐ ہے کہ رحمت کا سمندر

بہتا ہے یہ بہتا ہے یہ بہتا ہی رہے گا

Allah Ke Mehboob Ke Tukron Pe Yeh Aasi

Palta Hai Yeh Palta Hai Yeh Palta Hi Rahe Ga

اللہ کے محبوب کے ٹکڑوں پہ یہ عاصی

پلتا ہے یہ پلتا ہے یہ پلتا ہی رہے گا

Sarkar Se Maango To Sahi Aal Ka Sadqa

Milta Hai Yeh Milta Hai Yeh Milta Hi Rahe Ga

سرکار سے مانگو تو سہی آل کا صدقا

مِلتا ہے یہ ملتا ہے یہ ملتا ہی رہے گا

Teeron Ke Musalle Pe Shabbir Ka Sajda

Hota Hai Yeh Hota Hai Yeh Hota Hi Rahe Ga

تیروں کے مُصّلے پہ شبّیر کا سجدہ

ہوتا ہے یہ ہوتا ہے یہ ہوتا ہی رہے گا

Yeh Dil Teri Yaadon Se Mehakta Hi Rahe Ga

Tera Hai Yeh Tera Hai Yeh Tera Hi Rahe Ga

Matla

یہ دل تیری یادوں سے مہکتا ہی رہے گا

تیرا ہے یہ تیرا ہے یہ تیرا ہی رہے گا

Latest Kalam on Ahl-e-Bait

1 Kalams
01

یہ دل تیری یادوں سے مہکتا ہی رہے گا

Yeh Dil Teri Yaadon Se Mehakta Hi Rahe Ga

Naat حسنؔ 45K
Read Kalam