Ya Nabi salam alaika, ya Rasool Salam alaika
یا نبی سلام علیک یا رسول سلام علیک
Ya Nabi salam alaika, ya Rasool Salam alaika
Ya Habeb salam alaika, Salawa tullah alaika
Aaj wo tashreef laya , jis ne roton ko hansaya
Jis ne jalton ko bujhaya, jis ne bigron ko banaya
Arsh e aazam ka sitara , farsh walon ka sahara
Aamna bi ka dulara , haq ta'ala ka pyara
Do jaha'n ka raaj wala , takht wala taaj wala
Be kason ki laaj wala, sari duniya ka ujala
Tum bahar e bagh e aalam, tum naweed e ibn e Mariyam,
Tum pe qurbaan Sara aalam, aadam o aoulad e aalam
Tum bina e do sara ho, kaba wale ki dua ho
Tum hi sab ka mud'dua ho, jaa'n na kyu tum par fida ho
Aap hain wahdat ke Mazhar, aap hain kasrat ke masdar
Aap Awwal aap aakhir, qiblay e dil aap ka dar
Aap ke ho kar jiyein hum , naam naami par marein hum
Jab Qayamat main uthe hum, arz is tarah karein hum
Arz hai salik ki aaqa, jaa'n kani ka ho ye naqsha
Saamne ho paak rouza , aur labon par ho ye kalma
Mufti Ahmad yar Khan