Ya Muhammad Tamanna-e-Kaun-o-Makaan
یا محمد تمنائے کون و مکاں
Ya Muhammad tamanna-e-kaun-o-makaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Ae muraad-e-zamaan hasrat-e-do jahaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Aap Shams-ud-Duha, aap Badr-ud-Duja
Aap Kaif-ul-Wara, aap Noor-ul-Huda
Noor bakhsh-e-jahaan taab-e-kaun-o-makaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Rooh-e-sidq-o-yaqeen, jaan-e-imaan-o-deen
Raahat-e-aarifeen, rehmat-e-aalameen
Dastgeer-e-zamaan, shaafi'-e-be-kasaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Mash'al-e-saalikaan, manzil-e-aarifaan
Haasil-e-zaakiraan, naazish-e-saadiqaan
Jaan-e-paighambaraan, Khatam-ul-Mursaleen
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Sab ke haajat rawa, sab ke mushkil kusha
Sab ke gham ki dawa, sab ke dil ki sada
Ae do aalam ke dil, ae do aalam ki jaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par
Keejiye Behzad par ik nigaah-e-karam
Is ko rakhta hai betaab Taiba ka gham
Aap ka naam hai us ke wird-e-zabaan
Hon hazaaron durood o salaam aap par