Assalam aye khusrawe duniya wa dee’n
السلام اے خسروِ دنیا و دیں
Assalam aye khusrawe duniya wa dee'n
Assalam aye raahat jaan e hazee'n
Assalam aye badshah e do jaha'n
Assalam aye sarwar e kaun o maka'n
Assalam ay noor e imaa'n asslam
Assalam ay raahat e jaa'n asslam
Ay shakeeb e jaan e muztar Assalam
Aaftab e zarra parwar assalam
Dard o gham ke charah farma assalam
Dard mandon ke maseeha assalam
Ay muraden dene wale assalam
Dono aalam ke ujale assalam
Dard o gham main mubtala hain ye ghareeb
Dam chala teri duhayi ay tabeeb
Nabze'n saqit rooh muztar jee nidhaal
Dard e isya'n se hua hai ghair haal
Be saharo'n ke sahare hai'n huzoor
Haami o yaawar hamare hain Huzoor
Ham ghareebo'n par karam farmaiye
Bad naseebo'n par karam farmaiye
Be qararo'n ke sirhane aaiye
Dil figaro'n ke sirhane aaiye
Jaa'n ba lab ki charah farmayi karo
Jaan e isa ho masehayi karo
Sham hai nazdeek manzil door hai
Paao'n kaise jaan tak ranjoor hai
Maghribi goshon main phooti hai shafaq
Zardi e khursheed se hai rang faq
Raah na maloom sahra pur khatar
Koyi sathi hai na koyi raah bar
Taairon ne bhi basera le liya
Khwahish e parwaaz ko rukhsat kiya
Har taraf karta hun hairat se nigah
Par nahin milti kisi surat se raah
Sau balayen chashm e tar ke samne
Paas ki surat nazar ke samne
Dil paresha'n baat ghabrayi hoyi
Shakl par afsurdagi chayi hoyi
Zulmaten shab ki ghazab dhane lagin
Kali kali badliyan chane lagin
In balaon main phansa hai khana zaad
Aafaton main mubtala hai khana zaad
Ay arab ke chand ay mahr e ajam
Ay khuda ke noor ay shamm e haram
Farsh ki zeenat hai dam se aap ke
Arsh ki izzat qadam se aap ke
Aap se hai jalwa e haq ka zahoor
Aap hi hain noor ki aankhon ke noor
Aap se raushan hoye kaun o maka'n
Aap se purnoor hai bazm e jaha'n
Ay khuda wand e arab shah e ajam
Kijiye hindi ghulamon par karam
Ham siyah karon pe rahmat kijiye
Terah bakhton ki Shafa'at kijiye
Apne Bandon ki madad farmaiye
Pyare Hami muskurate aaiye
Ho agar shan e tabassum ka karam
Subh ho jaye shab e deejor e gham
Zulmaton main gum hua hai raasta
Almadad ay khanda e danda'n numa
Haan dikhana jana tajalli ki adaa
Thokare'n khata hai pardesi tera
Dekhiye kab tak chamakte hain naseeb
Der se hai lau lagaye ye ghareeb
Multaji hun main arab ke chand se
Apne rab se apne rab ke chand se
Main bhikari hun tumhara tum ghani
Laaj rakh lo mere phaile hath ki
Tang aaya hun dil e nakaam se
Is nikamme ko laga do kaam se
Aap Ka darbar hai arsh ishtebah
Aap Ki sarkar hai bekas panah
Maangte phirte hain sultan o ameer
Raat din pheri lagate hain faqeer
Gham zadon ko aap kar dete hain shad
Sab ko mil jati hai muh mangi muraad
Main tumhara hun gada e benawa
Kijie apne be nawaon par ataa
Main ghulam e heech Kara hun Huzoor
Heech karon par karam ho zaroor
Ache achon ke gahak har kahi'n
Ham bado'n ki hai kharedari yahin
Kijie rahmat hasan par kijie
Donon aalam ki muraden dijie
Hasan raza bareilvi