نعت
Naat woh muqaddas صنف-e-sukhan hai jis mein Huzoor Nabi-e-Kareem Muhammad Mustafa ﷺ ki zaat-e-aqdas, seerat, shamaail, fazail, mojizat, rehmat aur muhabbat ka adab ke saath bayan hota hai.
Payaam laai hai baad-e-saba Madine se
Ke rahmaton ki uthi hai ghata Madine se
Ilahi koi to mil jaaye chara-gar aisa
پیام لائی ہے باد صبا مدینے سے
کہ رحمتوں کی اٹھی ہے گھٹا مدینے سے
Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum
Ya Ilahi kyun kar utrain paar hum
Kis bala ki mai se hain sarshaar hum
پاٹ وہ کچھ دَھار یہ کچھ زَار ہم
یاالٰہی کیوں کر اُتریں پار ہم
Phir utha walwala-e-yad-e-Mugheelan-e-Arab
Phir khincha daman-e-dil sooye Bayaban-e-Arab
Bagh-e-Firdaus ko jaate hain Hazaran-e-Arab
پھر اُٹھا وَلولۂ یادِ مُغِیلانِ عرب
پھر کھنچا دامن دل سُوئے بیابانِ عرب
Pesh-e-Haq muzhdah-e-shafa'at ka sunate jayenge
Aap rote jayenge hum ko hansate jayenge
Dil nikal jane ki ja hai aah kin aankhon se woh
پیشِ حق مژدہ شفاعت کا سُناتے جائیں گے
آپ روتے جائیں گے ہم کو ہنساتے جائیں گے