Nazam bawaqt zikr o wiladat syyed Rusul ﷺ
نظم بوقت ذکر ولادت سید رسل ﷺ
Momino hai rahmat haqq ka durood
Ba Adab tum kyun nahin parhte durood
Hai malayik ka yahan par azdham
Dast Basta kyun nahin parhte Salam
Ba Adab hai ba naseeb ay ahl e Dee'n
Be Adab se bad naseebi hai qaree'n
Muzda layi hai Saba kis phool ka
Jis ne aalam ko muattar kar diya
Aaj Kaba kis liye hai shadma'n
Band hai Aatish kadon ka kyun dhuwan
Butkadon main kis liye
Kohram hai
Kufr ka kyun tukre tukre daam hai
Do Jaha'n main kis ka lutf aam hai
Bat raha Islam ka inaam hai
Saf basaf hai kyun firishte ba Adab
Shor kaisa hai ajam se ta Arab
Jannate arasta hai kis liye
Shad sab shah o gada hain kis liye
Konsa mah e Munawwar aaye ga
Chandna phaila hai jis ke Noor ka
Zalzala kyun qasar e kasra main para
Kis ki Aamad ka hai aisa dabdaba
Kyun kahanat par tabahi aa gayi
Kon se sulta'n ki hai jalwah gari
Jab tahayur ahl e hairat ko barha
Hatif e ghaibi ne Yun muzda Diya
Aamad e Aamad sarwar e aalam ki hai
Aamad aamad rahmat e aazam ki hai
Aane Wala Malik e Darren hai
Jis ke bayis khalqat e kounain hai
Ho raha hai aaj kabe ka singhar
Aur shayateen rorahe hai zaar zaar
Koi kehta hai ki aayenge yahan
Wo nabi ul Anbia ba azusha'n
Jin ki Aamad ki khabar Esa ne di
Zikr farmate rahe jin ka Nabi
Nayib e haq badshah e do jaha'n
Jaan e Emaan o makeen e lamaka'n
Hai Nabi ul Anbia
Un ka laqab
Khatam e paighambara'n fakhr e Arab
Shafa e mehshar unhin ka naam hai
Deen o duniya main unhin se kaam hai
Dar par un ke mangte hain taajdar
dono aalam ke yehi hain shahryar
Zarrah zarrah ka hai un ko ikhtiyar
Bantte hain naimaten lail o nihar
Sunte hain yehi gharebon ki pukar
Sare aalam ke yehi hain gham ghusar
Kerte hain faryad un se janwar
Be kason ki ye hi lete hain khabar
Sar par un ke dono aalam ka hai taaj
Un ko dete hain Shahan e dahar baj
Mazhar e ilme khuda ummi laqab
Mukhbir e Sadiq e shahinshah e Arab
Un ki izzat Kon Jane juz khuda
Khud wo farmata hain loluaka lama
Sang un ke paye aqdas dekh kar
Khenchte hain un ka naqsha qalb par
Kyun na ho! Hai arsh ki izzat qadam
Kyun na ho! Hai Farsh ki zeenat qadam
Khak pa akseer ka bharti hai Dam
Khata hai Quran bhi jis ki qasam
Jholiyan dale faqeron be nawa
Hath phailaye hoye shah o gada
Gir rahe hain arz ba zoq turb
Ay mere mehr e ajam mah e Arab
Gah dard Dil saz gah dardeed ja
Her do Jaye tast ya badr ud duja
Ro siyah o be kas o khati Manam
Chashm e rahmat berkasha aasi manam
Man neen munkir khata war tu am
Banda ruswa o nakar tu am
Karwa'n riffat o pareshanam base
Raham kun ya shah barman be kase
Dastger masiyah Kara'n tuyi
Ay shifa e dard bemara'n tuyi
Lo wo utha abr e rahmat jhomta
Rahmat e aalam ki choukhat chomta
Qahet Sali khak main mil jaye gi
Dil ki aalam ke Kali khil jaye gi
Hai sawari aane wali anqareeb
Aane wale hain yahan rabb ke Habeb
Shah e shaha'n aane wale hain yahan
Yun sajaye jate hain Koun o maka'n
Sab Malak hain istadah ba adab
Jalwah farmayen ge ab mahboob e rabb
Sunyo tum bhi bahut tazeem se
jholiyan phaila ke ho jao khare
aur kaho a shah e shaha'n as salam
mere Aaqa jaan e jana'n as salam
Ay shafi e Roz e mahshar as salam
Saqi e Tasneem o kouser as salam
Ahmad o Mahmood nami as salam
Riffat Dee'n taaj wale as salam
Ay mere mairaaj wale as salam
Riffat Dee'n taaj wale as salam
Arsh ki aankhon ke tare as salam
Dono aalam ke sahare sa Salam
Ummati farmane wale as Salam
Paish rab bakhshane wale as Salam
Lambe lambe hathon wale as Salam
Pyari pyari zulfon wale as Salam
Mere wali mere moula as salam
Mere Waris mere aaqa as Salam
Sarwar e aalam Mohammed ﷺ ze waqar
Hon duroode tum pe nazil beshumar
Ay khuda Kar mujh ko abd e Mustafa ﷺ
Tab yaqen janon Daman Ghous e Anam
Qadri may se mujhe sarshar kar
Mast be khud khabar hoshiyar kar
Hain mashayikh silsila main jis qadar
Mai na bholun yaad un ki Umar bhar
Dayima barkaat ke barkaat se
Mujh ko hissa har jagah milta rahe
Mujh pe ache ki rahe achi nazar
Noor Irfa'n se ho Dil rashak e qamar
Mere murshid Hazrat Ahmad Raza
Kar de mujh ko zaat main un ki fana
Un ke faiz o lutf se masroor rakh
Qadri razwi mujhe mashoor rakh
Dost un ka hashar tk phole phale
Dushmanon par qahar ki bijli gire
Un ki sab Aulad aur khuddam ka
Ya khuda kar dono aalam main bhala
Izzat o aish o uloom o fazal de
Hashar Tak ye silsila jari rahe
Ho Jameel qadri ki har Dua
Ya khuda maqbool bahr e Mustafa ﷺ
Kalaam:
Jameel Qadri