Hami E Deen E Huda They Shah Jilani Miyan
حامی دین ہدی تھے شاہ جیلانی میاں
Manqabat Ba Silsila Wisal Hazrat Walid Majid
Haami E Din E Hudaa Thai Shaah Jilani Miyaan
Bilyaqin Mard E Khudaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Misl E Gul Hangaam E Rukhsat Muskuraatai Hi Rahai
Paikar E Sabr O Razaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Chal Basai Ham Ko Dikhaa Kar Raah Sidhi Khuld Ki
Din E Haqq Kai Rahnumaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Hijr Ki La'ai Na Taab Akhirash Jaa Hi Milai
Ashiq E Khairul Waraa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Unn Kai Har Irshaad Se Har Dil Ki Hoti Thi Jilaa
Mazhar E Shaan E Khudaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Maal O Zarr Sab Kuch Nichaawarr Raah E Haqq Mai Kar Gaye
Kaisaai Mukhlis Paishawaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Ham Ko Bin Daikhai Tumhai Ab Kaisai Chain Aye Huzur
Tum Shakib E Aqrabaa Thai Shaah Jilaani Miyaan
Sabr O Taslim O Razaa Ki Ab Hamai Taufiq Dai
Tere Bandai Ae Khudaa! Thai Shaah Jilaani Miyaan
Shor Kaisaa Hai Ye Barpaa Ghaur Se Akhtar Suno
Par Taw E Ahmad Razaa Thai Shaah Jilaani Miyaan