Zahe Izzat o Ie’tila-e Muhammad
زہے عزّت و اِعتلائے مُحَمَّد
Zahe Izzat o Ie'tila-e Muhammad
Ke hai Arsh-e-Haq Zair-e-Pa-e Muhammad
Makan Arsh un ka, Falak Farsh un ka
Malak Khadiman-e-Sara-e Muhammad
Khuda ki Raza Chahte Hain Do Alam
Khuda Chahta Hai Raza-e Muhammad
Ajab Kya Agar Rahm Farma Le Hum Par
Khuda-e Muhammad Bara-e Muhammad
Muhammad Bara-e Janab-e Ilahi!
Janab-e Ilahi Bara-e Muhammad
Basi Itr-e-Mahbubiyat-e Kubra Se
Aba-e Muhammad Qaba-e Muhammad
Ba-Ham Ahd Bandhe Hain Wasl-e Abad Ka
Raza-e Khuda Aur Raza-e Muhammad
Dam-e-Naza Jari Ho Meri Zaban Par
Muhammad Muhammad Khuda-e Muhammad
Asa-e Kaleem Azhdaha-e Ghazab Tha
Giron Ka Sahara Asa-e Muhammad
Main Qurban, Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Ye Aan-e Khuda, Woh Khuda-e Muhammad
Muhammad Ka Dam Khas Bahr-e Khuda Hai
Siwa-e Muhammad Bara-e Muhammad
Khuda Un Ko Kis Pyar Se Dekhta Hai
Jo Aankhen Hain Mahw-e Liqa-e Muhammad
Jalwa Mein Ijabat, Khawasi Mein Rahmat
Barhi Kis Tuzuk Se Dua-e Muhammad
Ijabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Barhi Naaz Se Jab Dua-e Muhammad
Ijabat Ka Sehra, Inayat Ka Jora
Dulhan Ban Ke Nikli Dua-e Muhammad
Raza! Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ke Hai Rabbi Sallim Sada-e Muhammad