Ay deen e haq ke rehbar tum par salam har dam
اے دینِ حق کے رہبر تم پر سلام ہر دم
Ay deen e haq ke rehbar tum par salam har dam
Mere shafe'a - e - mehshar tum par salam har dam
Iss be - kase azee par jo kuch guzar rahi hai
Zahir hai sab wo tum par tum par salam har dam
Duniya o akhirat main jab main rahun salamat
Pyare parhon na kyun kar tum par salam har dam
Dil tuftagan e furqat pyase hain muddaton se
Hum ko bhi jaam e kausar tum par salam har dam
Banda tumhare dar ka ulfat main mubtala hai
Rehm ay habeeb e daawar ,tum par salam har dam
Ay warison ke waris hai waliyon ke wali
Taskeen e jaan e muztar tum par salam har dam
Lillah ab humaru faryad ko pohachiye
Be had hai haal abtar tum par salam har dam
Jallad e nafs e bad se dijiye mujhe rihayi
Ab hai gale pe khanjar tum par salam har dam
Daryuzagr hun main bhi adna sa us gali ka
Lutf o karam ho mujh par tum par salam har dam
Koyi nahin hai mera main kis se daad chahon
Sultaan e banda parwar tum par salam har dam
Gham ki ghatayen ghir kar aayi hain har taraf se
Ay meher zarra parwar tum par salam har dam
Bulwa ke apne dar par abh mujh ko dijiye izzat
Phirta hun khwa dar dar tum par salam har dam
Mohtaj se tumhare sab karte hain kinara
Bas ik tumhi ho yawar tum par salam har dam
Beher e khuda bachao in khar haye gham se
Ik dil hai lakh nishtar tum par salam har dam
Koyi nahin humara hum kis ke dar pe jayen
Ay be kason ke yawar tum par salam har dam
Kya khauf mujh ko pyare naar e jahim se ho
Tum ho shafe'a e mehshar tum par salam har dam
Apne gada e dar ki lijiye khabar khudara
Kijiye karam hasan par tum par salam har dam
Zouoq e Naat
Hasan raza barelwi