Durood Tum Par Salam Tum Par
درود تم پر سلام تم پر
Qubul hone lagen duayen
Muaaf hone lagen khatain
Hai aamad e Mustafa ka muzdah
Falak se aati hain ye nidayin
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Salam ay rehbar do aalam
Salam ay hadiaye muazzam
Salam ay fakhr e ibn e aadam
Ye jhuk ke kehti hai chashm e purnam
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Tumhi ho raaz e haram ke mehram
Tamam nabiyon main tum mukarram
Tumhi to ho rehmat e mujassam
Sada ye aati hai dil se paiham
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Salam ay be kason ke waali
Hai tera darbar sab se aali
Khare hain dar pe tere sawali
Bhare hain dil jholiyan hain khali
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Khare hain ye talibaan e rehmat
Dilon main le kar tumhari ulfat
Basad aqeedat basad nadaamat
Ye keh rahi hai tumhari ummat
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Dayar e ghurbat main ji rahe hain
ajeeb sa sab seh rahe hain
Jo ashk aankhon se beh rahe hain
Tarap tarap kar wo keh rahe hain
Durood tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Hamare toote hoye safeene
Na jane pohnchain ge kab madine
Hoye hain ab dagh dagh seene
Milain ge taskeen ke kab khazeene
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Tumhare ruh ul amee'n payami
Tumhe malaaik ne di salami
Naseem ka bhi salam le lo
Ay bekason be nawa ke haami
Durud tum par salam tum par
Salam shah e anaam tum par
Waheda Naseem