Aap Ka Irfan Dobala Sayyidi Ahmed Raza
آپ کا عرفاں دوبالا سیدی احمد رضا
Aap ka irfan dobala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ka farman wala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ne hum ko sambhala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ka hai bol bala Sayyidi Ahmed Raza
Zehn o dil, fikr o nazar, roshan se roshan ho gaye
Aap ne kaisa ujala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ke noori qalam ne woh siyahi pheer di
Dushmanon ka munh hai kala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ki ilmi jalalat dushmanon pe chha gayi
Lag gaya hai munh pe tala Sayyidi Ahmed Raza
Aap ne ishq-e-Nabi ka woh parhaya hai sabaq
Ho gaya eeman Hamala Sayyidi Ahmed Raza
Han yehi chashm-o-chiragh-e-mahfil-e-Barakaat hain
Is tarah hai zaat bala, Sayyidi Ahmed Raza
Kul jahan kehne laga hai Ala Hazrat aap ko
Yun kiya Aaqa ne A'la Sayyidi Ahmed Raza
Qadri hoon, Suhrawardi, Naqshbandi Chishtiya
Har zaban par qaul-e-bala, Sayyidi Ahmed Raza
Hai yeh faiz-e-Hazrat Mufti Khaleel Qadri
Mil gaya hai bab-e-wala, Sayyidi Ahmed Raza
Un ko Hafiz kya kahe jo shakl-e-murshid ban gaye
Khud ayan hai shan-e-wala Sayyidi Ahmed Raza