Har Shab Mujhe Ho Jata Hai Deedar-e-Madinah
ہر شب مجھے ہو جاتا ہے دیدارِ مدینہ
Har shab mujhe ho jata hai deedar-e-Madinah
Har roz mein parh leta hoon akhbar-e-Madinah
Boseeda kitabon ke varaq ulto ge kab tak
Tabinda hain, rakhshanda hain afkar-e-Madinah
Ya Rab! hon ata aur tasalsul se ata hon
Tehzeeb-e-praganda ko iqdar-e-Madinah
Sab murda zameeron ko jala dalon to achha
Dete hain sabaq ishq ka ahrar-e-Madinah
Kaise mein dikha paon ga Taiba ke manazir
Mumkin hi nahi lafzon mein izhar-e-Madinah
Le jate hain us shehr-e-khunak mein mujhe har shab
Oraq pe phaile hue aasar-e-Madinah
Tasveer-e-adab ban ke muwajhay mein khare hain
Qismat ke sikandar hain talab gar-e-Madinah
Takhleeq-e-Khuda, jin ka badal koi nahi hai
Be-misl bashar hain mere sarkar-e-Madinah
Suraj sawa neze pe bade shauq se chamke
Mahshar mein mujhe kafi hai dastar-e-Madinah
Shayad nahi maloom raqiban-e-sehar ko
Lajpal hamare bhi hain dildar-e-Madinah
Han han mein hoon deewana Nabi ji ka azal se
Zanjeer-e-adab meri hai gulzar-e-Madinah
Hathon mein liye phool, saba raqs kare gi
Jannat mein zara chhair do azkar-e-Madinah
Kya dilkash o dilbar hai gali koochon ka manzar
Kya Jannat-e-arzi hai chaman zar-e-Madinah
Har sa'at-e-veeran ko ata hoti hai shabnam
Sarsabz, Ilahi, rahe gulzar-e-Madinah
Woh aab-e-khunak, thandi khajuran, lab-e-tishna
Kya khoob se bhi khoob hai iftar-e-Madinah
Mahdood hai kab rehmat-e-Aaqa-e-Mukarram
Kaunain ke sardar hain sardar-e-Madinah
Sochon ke dar-e-shauq pe dastak do hawao!
Har mor pe ajaye ga bazar-e-Madinah
Har shakhs bharose ke bhi qabil nahi hota
Khulte hain ghulamon hi pe asrar-e-Madinah
Mein us ke kisi taaq mein rakh aya hoon aankhen
Humraz hai, damsaz hai deewar-e-Madinah
Imshab bhi Riaz aalam-e-roya mein yaqeenan
Barsein ge meri aankh pe anwar-e-Madinah