Asslalam Ay Nabi
السلام اے نبی
Khatam ul anbiya sayyad ul mursaleen
Taajdar e arab rahmat al aalmeen
Noor e wahdat se tabinda teri jabeen
Jis ke zau se Munawwar hai duniya o deen
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Chotiya'n koh e faara'n ki raushan hoyin
Wadiya'n aaj yasrab ki gulshan hoyin
Jhariya'n ghairat e nakhl e Aiman hoyin
Aamina Noor e aalam ka makhzan hoyin
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Muzda e eid hai arsh se farsh tak
Maah paro'n ki zarro'n ne payi chamak
Sajda karta hai jhuk kar zameen ko falak
Apna rutba barhayen ye keh kar malak
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Noor ki ik kiran jagmagane lagi
Khirman e kufr har soo jalane lagi
Sarzameen e arab gungunane lagi
Khak e bat'ha se aawaz aane lagi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Shams sajde main hai parh ke shams ud duha
Chand tukre hua keh ke badr ud duja
Arsh kehne laga jhuk ke sadr ul ula
Hai zuba'n par farishton ke salle alaa
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi fakhr e paghambara'n
Assalam ay nabi hamdam e be kasa'n
Assalam ay nabi saaqi e tishna ga'n
Assalam ay nabi rahmat e do jaha'n
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi haadi e gumraha'n
Muntazir phir hain rahmat ke ham khasta ga'n
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay
Hum to bhoole tumhe tum na bholo nabi
Hum ne chora tumhe tum na choro nabi
Dil zamane ne tore hain joro nabi
Aas toote dilon ki na toro nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Assalam ay nabi assalam ay nabi
Waheda Naseem