Asi Se Saaf Zahir Hai Tumhara Martaba Khwaja
اسی سے صاف ظاہر ہے تمہارا مرتبہ خواجہ
Asi se saaf zahir hai tumhara martaba Khwaja
Ke uthti hai tumhari simt chashm-e-auliya Khwaja
Tahaiyur mein pari hai kyun meri chashm-e-tamashai
Nazar ki ibtida Khwaja, nazar ki intiha Khwaja
Tawatur se mere sajdon ke kyun duniya ko hairat hai
Mujhe to ishq ne bakhsha tumhara rabita Khwaja
Dar-o-deewar ko ik wajd hai, saktah mein hai duniya
Zaban-e-be-zabani keh rahi hai majra Khwaja
Tumhare dar pe aa kar deen duniya pa liye maine
Tumhin se ho rahe hain donon aalam ki bina Khwaja
Zahe shan-e-karimi, ab mere daman mein sab kuchh hai
Meri umeed se tum ne diya mujh ko siwa Khwaja
Koi har gaam pe yeh keh raha hai mere kanon mein
Siraj-e-Arifan Khwaja hain jaan-e-auliya Khwaja
Mere aalam ko ae Behzad ahl-e-dil hi samjhenge
Zaban-e-ishq se kehta hoon main har waqt Ya Khwaja