Zamana Hajj ka hai jalwa diya hai shahid-e-gul ko
زمانہ حج کا ہے جلوہ دیا ہے شاہد گل کو
Zamana Hajj ka hai jalwa diya hai shahid-e-gul ko
Ilahi taqat-e-parwaz de parhaye bulbul ko
Baharein aaein joban par ghira hai abr-e-rahmat ka
Lab-e-mushtaq bheegein de ijazat saqiya mil ko
Mile lab se woh mushkeen muhr wali dam mein dam aaye
Tapak sun kar Qum-e-Isa kahun masti mein qulqul ko
Machal jaun sawal-e-mudda'a par tham kar daman
Behakne ka bahana paun qasd-e-be-taammul ko
Dua kar bakht-e-khufta jaag hangam-e-ijabat hai
Hataya subh-e-rukh se Shah ne shabhaye kakul ko
Zaban-e-falsafi se amn kharq-o-iltiyam asra
Panah-e-daur-e-rahmat haye yak sa'at tasalsul ko
Do shamba Mustafa ka Jum'a-e-Adam se behtar hai
Sikhana kya lihaz-e-haisiyat khu-e-taammul ko
Wufur-e-shan-e-rahmat ke sabab jura'at hai ae pyare
Na rakh bahr-e-Khuda sharminda arz-e-be-taammul ko
Pareshani mein naam un ka dil-e-sad chaak se nikla
Ijabat shana karne aai gesuye tawassul ko
Raza na sabza-e-gardun hain kotal jis ke maukab ke
Koi kya likh sake us ki sawari ke tajammul ko