Mubarak ho Habib-e-Rab-e-Akbar aane wala hai
مبارک ہو حبیبِ ربِ اکبر آنے والا ہے
Mubarak ho Habib-e-Rab-e-Akbar aane wala hai
Mubarak Ambiya ka aaj afsar aane wala hai
Andheron mein bhatakte phirne walon ko mubarak ho
Tumhein Haq se milane aaj Yawar aane wala hai
Mubarak badnaseebon ko, mubarak ho ghareebon ko
Jahan mein be-basoon ka saya-gustar aane wala hai
Karo ghar ghar charaghan, sabz parcham aaj lehrao
Macha do Marhaba ki dhoom, Dilbar aane wala hai
Tarawat kyun na ho hasil mere qalb-o-jigar ko
Jahan mein Bahr-e-Rahmat ka shanawar aane wala hai
Mubarak ho Haleema Sa'diyaؓ tujh ko mubarak ho
Teri godi mein kul Aalam ka Sarwar aane wala hai
Uthao sabz parcham aur chalo sab Aamina ke ghar
Lutane rahmatein Haq ka Payghambar aane wala hai
Agar na aaj jhoomo ge to kab jhoomo ge deewano
Machal jao, tumhara aaj Yawar aane wala hai
Jahan mein zulmaton ka chaak hoga aaj se seena
Khuda ke fazl se Maah-e-Munawwar aane wala hai
Tasalli to rakho, sairab bhi ho jaoge Attarؔ
Chhalkta jaam le kar Shah-e-Kausar aane wala hai
Kalaam: Ilyas Qadri