Aa Gaya Roz-e-Eid-e-Wisaal-e-Habeeb, Muzhda Ae Maigasaaran-e-Ahmed Raza
آگیا روزِ عیدِ وصالِ حبیب، مژدہ اے مَیگسارانِ احمد رضا
Aa gaya roz-e-eid-e-wisaal-e-habeeb, muzhda ae maigasaaran-e-Ahmed Raza
Peene walon ki khud justaju mein hai aaj, jam-e-sahba-e-irfan-e-Ahmed Raza
Phir Bareilly ki janib se baadal uthe, ho mubarak ghulaman-e-Ahmed Raza
Ahl-e-Sunnat pe hone lagi jhoom kar barish-e-khas faizan-e-Ahmed Raza
Ishq-e-mah-e-Madina ke anwar ka, chand rooye durakhshan-e-Ahmed Raza
Mustafa ki mohabbat ka hai aaina, aks-e-rukhsar-e-taban-e-Ahmed Raza
Mil raha hai Shah-e-Deen ka sadqa yahan, bat raha hai Madine ka baara yahan
Nemat-e-ishq-e-mahboob se le chalo, bhar ke jholi gadayan-e-Ahmed Raza
Ahl-e-Sunnat ka hai khuld bar-kaf chaman, kyun uthayen bhala hum khizan ke mihan
Nighat-e-ishq-e-gulzar-e-mahboob se, hai mu'attar gulistan-e-Ahmed Raza
Alam-e-azmat-e-Shah-e-Deen ko liye, Allah Allah woh ma'rake sar kiya
Mustafa ki wila ka nishan ban gaya, parcham-e-izzat-o-shan-e-Ahmed Raza
Zaat-e-wala hai sar ta paa Bahr-ul-Uloom, ik Ajam kya zamane mein hai jis ki dhoom
Khud Arab ke afazil ne isnad leen, Allah Allah yeh shan-e-Ahmed Raza
Jalwa-e-Mustafa hai nazar se qareeb, aam hai da'wat-e-soz-e-ishq-e-habeeb
Kis qadar auj par hai hamara naseeb, hum hue aaj mehman-e-Ahmed Raza
Ta-ba-kay yeh khalish aur dard-e-jigar, ta-ba-kay thokaren khaoon mein dar ba-dar
Ho gunahgar Akhtar pe Aaqa nazar, hoon ghulam-e-ghulaman-e-Ahmed Raza