Aastan hai yeh Ahmed Raza Khan ka Marhaba Marhaba
آستاں ہے یہ احمد رضا خان کا مرحبا مرحبا
Aastan hai yeh Ahmed Raza Khan ka Marhaba Marhaba
Yani Ishq o Mohabbat ke Sultan ka Marhaba Marhaba
Jaam par jaam chalta hai Irfan ka Marhaba Marhaba
Haal woh hai yahan ahl-e-wajdan ka Marhaba Marhaba
Hosh rehta nahi hai gareeban ka Marhaba Marhaba
Shohra har su hai jis ke qalamdaan ka Marhaba Marhaba
Uqda khulta hai fikr-e-pareshan ka Marhaba Marhaba
Tan gaya saiban Zill-e-Subhan ka Marhaba Marhaba
Allah Allah woh aalam hai faizan ka Marhaba Marhaba
Lar gaya Arsh se paya insan ka Marhaba Marhaba
Fikr ko aaj degi ajab chashni phail kar chandni
Aaj chamka degi jada-e-batini phail kar chandni
Ishq-e-Sarkar ki bakhshe gi ragni phail kar chandni
Ab ugaye gi gul kasni kasni phail kar chandni
Chand nikla Naqi ke shabistan ka Marhaba Marhaba
Jo bhi haal-e-tariqat ke ranjeeda hain tere garwida hain
Jitne bazm-e-riyazat ke sanjeeda hain tere garwida hain
Raaz jitne bhi auron pe posheeda hain tere garwida hain
Jo bhi iss raah ke sahib-e-deeda hain tere garwida hain
Gul hai Marehra ke gulistan ka Marhaba Marhaba
Sar pe noor-e-shariat ki dastar hai aql bedar hai
Hai dahan ya koi behr-e-asrar hai dil pur anwar hai
Pusht-e-Adam ka tu durr-e-shahwar hai Rab ka shahkar hai
Tu imam-e-saf-e-jumla abrar hai iss ka haqdar hai
Hai fida tujh pe maya tan o jaan ka Marhaba Marhaba
Kaif mein sun ke hai quds ki anjuman teri tarz-e-sukhan
Maangte hain sabhi tootiyan-e-chaman teri tarz-e-sukhan
Dekh kar mahv-e-hairat hain ahl-e-sukhan teri tarz-e-sukhan
Kya bayan kar gayi madh-e-shah-e-zaman teri tarz-e-sukhan
Hubahu aks-e-roshan hai Hassan ka Marhaba Marhaba
Mazhar-e-qudrat-e-zaat-e-haq ki namood ek tera wajood
Lutf o ahsan-e-Rabb-ul-Ala ka warood ek tera wajood
Bais-e-rashk hai arsa-gah-e-shahood ek tera wajood
Hai tajalli gah-e-naqsh haye durood ek tera wajood
Kya bayan martaba ho teri shan ka Marhaba Marhaba
Char jaan-e-fiqahat ka qaalib hai tu sab pe ghalib hai tu
Hafiz-e-juziyaat-e-mazahib hai tu sab pe ghalib hai tu
Waqif-e-hukm o jumla maratib hai tu sab pe ghalib hai tu
Pa piyada faqeehon mein rakib hai tu sab pe ghalib hai tu
Durrat-ul-taj hai fikr-e-Numan ka Marhaba Marhaba
Sahib-e-kashf-e-asrar-e-Quran hai wah kya shan hai
Tu ke ilm-e-nubuwwat pe burhan hai wah kya shan hai
Zill-e-mamdood-e-ijlal-e-Rehman hai wah kya shan hai
Naib-e-Khwaja-e-bazm-e-imkan hai wah kya shan hai
Tu hai qibla mere qalb-e-hairan ka Marhaba Marhaba
Khutba-e-nutq-e-yuha ka mimbar hai tu mera rehbar hai tu
Haq ka arif hai tu Shaikh-e-Akbar hai tu mera rehbar hai tu
Allah Allah khilafat ka mazhar hai tu mera rehbar hai tu
Allah Allah ajaib ka paikar hai tu mera rehbar hai tu
Naara hai tu mere shauq-e-wajdan ka Marhaba Marhaba
Dar pe bulwa liya mera rakha bharam yeh hai tera karam
Dhul gaya qalb-e-Razi se daagh-e-alam yeh hai tera karam
Main hua dakhil-e-ahliyan-e-himam yeh hai tera karam
Sharaf-e-ruyat mila main hua mohtaram yeh hai tera karam
Allah Allah muqaddar yeh mehman ka Marhaba Marhaba