Kia shan man likhe ga koi un ka Qaseedah
کیا شان میں لکھے گا کوئ اُن ﷺ کا قصیدہ
Kia shan man likhe ga koi un ka Qaseedah
jese wo hain wesa na to dedah na shunedah
Jab yaad kia qalb hua nafa Aahu
Jab naam lia hogaye lab shahad chakedah
Rakh ek taraf fikr ko Qartaas o qalam ko
Ashko'n se bhi likh un ki sana un ka qasedah
Dekha hai bulandi pe har ek ja sar e aflaak
Lekin usse dekha hai madina main khamidah
Hasrat main ziyarat ki bahe jate hain aansu
Accha hai wuzu karta hai deedar ko dedah
Kia us ko kharide'n ge Salaten e zamana
Ay rahmat e Aalam teri rahmat ka kharedah
Ummat hai bohat zaar o pareshan, karam kr
Chadar bhi daredah hui daman bhi daredah
Wo shayri acchi ke dikhaye jo ye manzar
Aa gosh e karam main sag e duniya ka gazedah
Mohtaaj na hoga kabhi wo hath jo likhe
Is mu'ti o mun'em ki sakhawat pe qasedah
Mehroom nahi hon gi basarat se wo aankhe'n
Gar khuwab sahi hon rukh e anwaar ki dedah
Bas ek hi jhonka hai bohat sher e nabi ka
Aawaz ye dete hain tan o qalb e tapedah
Laya dar e rahmat pe tujhe jaada e rahmat
Kaafi teri bakhshish ke liye hai ye qasedah
Jis raah se guzra hai *Adeeb* un ki sana main
Rakhshandah tabindah o rakhsha'n o damedah
Kaalam:
Adeeb Raye Pori