Zameen o zamaan tumhare liye, makeen o makaan tumhare liye
زمین و زماں تمہارے لئے مَکِین و مکاں تمہارے لئے
Zameen o zamaan tumhare liye, makeen o makaan tumhare liye
Chuneen o chunaan tumhare liye, bane do jahaan tumhare liye
Dahan mein zabaan tumhare liye, badan mein hai jaan tumhare liye
Hum aaye yahaan tumhare liye, uthein bhi wahaan tumhare liye
Farishte khidam, rasool hisham, tamaam-e-umam ghulaam-e-karam
Wujood o adam, hudoos o qidam, jahaan mein ayaan tumhare liye
Kaleem o Naji, Maseeh o Safi, Khaleel o Razi, Rasool o Nabi
Ateeq o Wasi, Ghani o Ali, sana ki zabaan tumhare liye
Isaalat-e-kul, imaamat-e-kul, siyaadat-e-kul, imaarat-e-kul
Hukoomat-e-kul, wilaayat-e-kul, Khuda ke yahaan tumhare liye
Tumhari chamak, tumhari damak, tumhari jhalak, tumhari mehak
Zameen o falak, simaak o samak, mein sikka nishaan tumhare liye
Woh kanz-e-nihaan, yeh noor-e-fashaan, woh kun se ayaan, yeh bazm-e-fakaan
Yeh har tan o jaan, yeh baagh-e-jinaan, yeh saara samaan tumhare liye
Zuhoor-e-nihaan, qiyaam-e-jahaan, rukoo-e-mihaan, sujood-e-shahaan
Niyaazein yahaan, namaazein wahaan, yeh kis liye haan tumhare liye
Yeh shams o qamar, yeh shaam o sahar, yeh barg o shajar, yeh baagh o samar
Yeh tegh o sipar, yeh taaj o kamar, yeh hukm rawaan tumhare liye
Yeh faiz diye, woh jood kiye, ke naam liye zamaana jiye
Jahaan ne liye tumhare diye, yeh ikramiyaan tumhare liye
Sahaab-e-karam rawaana kiye, ke aab-e-ni'am zamaana piye
Jo rakhte the hum woh chaak siye, yeh satr-e-badaan tumhare liye
Sana ka nishaan, woh noor-fashaan, ke meh-rushaan ba-anhama shaan
Basaya-kashaan, mawaakib shaan, yeh naam o nishaan tumhare liye
Ataa-e-Arab, jalaaye karb, fuyooz-e-ajab baghair talab
Yeh rahmat-e-Rabb hai kis ke sabab, ba-Rabb-e-jahaan tumhare liye
Zunoob fana, uyyoob haba, quloob safa, khutoob rawa
Yeh khoob ataa, kuroob zuda, paye dil o jaan tumhare liye
Na jinn o bashar ke aathon pahar, malaaika dar pe basta kamar
Na jubba o sar ke qalb o jigar, hain sajda-kunaan tumhare liye
Na rooh-e-ameen, na arsh-e-bareen, na lauh-e-mubeen koi bhi kaheen
Khabar hi nahin jo ramzein khulein, azal ki nihaan tumhare liye
Jinaan mein chaman, chaman mein saman, saman mein phaban, phaban mein dulhan
Sazaaye mehan pe aise minan, yeh amn o amaan tumhare liye
Kamaal-e-mihaan, jalaal-e-shahaan, jamaal-e-hisaan mein tum ho ayaan
Ke saare jahaan mein roz-e-fakaan, zill-e-aaeena saan tumhare liye
Yeh Toor kuja, sipihr to kya, ke arsh-e-ula bhi door raha
Jihat se wara visaal mila, yeh rif'at-e-shaan tumhare liye
Khaleel o Naji, Maseeh o Safi, sabhi se kahi kaheen bhi bani
Yeh be-khabari ke khalq phiri, kahaan se kahaan tumhare liye
Ba-for-e-sada samaan yeh bandha, yeh sidrah utha woh arsh jhuka
Sufoof-e-sama ne sajda kiya, hui jo azaan tumhare liye
Yeh marhamatein ke kachchi matein, na chhodein latein na apni gatein
Qusoor karein aur un se bharein, qusoor-e-jinaan tumhare liye
Fana badarat, baqa babarat, ze har do jihat ba-gird-e-sarat
Hai markaziyyat tumhari sifat, ke donon kamaan tumhare liye
Ishaare se chaand cheer diya, chhupe hue khur ko pher liya
Gaye hue din ko asr kiya, yeh taab o tawaan tumhare liye
Saba woh chale ke baagh phale, woh phool khile ke din hon bhale
Liwa ke tale, sana mein khile, Raza ki zabaan tumhare liye