Sarwar-e-Mursalan Aa Rahe Hain
سرورِ مُرسَلاں آرہے ہیں
Adab! Sarwar-e-Mursalan Aa Rahe Hain
Risalat Ke Rooh-e-Rawan Aa Rahe Hain
Ba Sad Azmat o Izz o Shaan Aa Rahe Hain
Jilwa Mein Liye Qudsiyan Aa Rahe Hain
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Yahi Zikr Hai Aaj Ek Ek Ghar Mein
Sitaron Mein Ghunchon Mein Gul Mein Gohar Mein
Yahi Dhoom Hai Har Taraf Bahr o Bar Mein
Mitane Ko Har Shar Libaas-e-Bashar Mein
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Bujhe Kufr o Ilhaad Ke Sab Sharare
Larazta Hai Iblees Dahshat Ke Maare
Sahar Dam Yeh Karti Hain Kirnein Ishare
Khuda Ke Dulare Khudai Ke Pyare
Shahanshah Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Ba Husn-e-Nubuwwat Ba Shaan-e-Risalat
Sarapa Tajalli Mujassam Inayat
Sahaab-e-Karam Salsabeel-e-Shafaat
Ba Sadr Rifat o Rahmat o Rushd o Raafat
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Manazir Tajalli Ke Hain Kuch Ajab Se
Faza Jagmaga Kar Yeh Kahti Hai Sab Se
Munawwar Zameen Hogi Maah-e-Arab Se
Malaik Hain Saff Basta Har Su Adab Se
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Zehe Khush Naseebi Zehe Kamgari
Chamakne Ko Hai Aaj Qismat Hamari
Nazar Muntazir Dil Fida Jaan Waari
Wo Aayi Wo Aayi Wo Aayi Sawari
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain
Yeh Subh-e-Masarrat Hai Khushiyan Banao
Durood o Salaam Apne Honton Pe Lao
Muhammad Ke Jalwon Pe Qurban Jao
Adab Se Naseer Apni Apni Aankhein Jhukao
Shahanshah-e-Kaun o Makan Aa Rahe Hain