Shor-e-Mah-e-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
شورِ مہِ نو سن کر تجھ تک میں دَواں آیا
Shor-e-Mah-e-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saqi Main Tere Sadqe Mai De Ramzan Aaya
Is Gul Ke Siwa Har Phool Ba-Gosh-e-Giraan Aaya
Dekhe Hi Gi Ae Bulbul Jab Waqt-e-Fughaan Aaya
Jab Baam-e-Tajalli Par Woh Nayyar-e-Jaan Aaya
Sar Tha Jo Gira Jhuk Kar Dil Tha Jo Tapaan Aaya
Jannat Ko Haram Samjha Aate To Yahan Aaya
Ab Tak Ke Har Ek Ka Munh Kehta Hoon Kahan Aaya
Taiba Ke Siwa Sab Baagh Paamaal-e-Fana Honge
Dekhoge Chaman Walo! Jab Ahd-e-Khizaan Aaya
Sar Aur Woh Sang-e-Dar Aankh Aur Woh Bazm-e-Noor
Zalim Ko Watan Ka Dhyan Aaya To Kahan Aaya
Kuch Naat Ke Tabaqe Ka Aalam Hi Nirala Hai
Sakta Mein Pari Hai Aql Chakkar Mein Gumaan Aaya
Jalti Thi Zameen Kaisi Thi Dhoop Kari Kaisi
Lo Woh Qad-e-Be-Saaya Ab Saaya Kunaan Aaya
Taiba Se Hum Aate Hain Kahiye To Jinaan Walo
Kya Dekh Ke Jeeta Hai Jo Waan Se Yahan Aaya
Le Tauq-e-Alam Se Ab Azaad Ho Ae Qumri
Chitthi Liye Bakhshish Ki Woh Sarv-e-Rawaan Aaya
Naama Se Raza Ke Ab Mit Jao Bure Kaamo
Dekho Mere Palle Par Woh Achchhe Miyan Aaya
Badkaar Raza Khush Ho Badkaam Bhale Honge
Woh Achchhe Miyan Pyara Achchhon Ka Miyan Aaya