Sab Se Aula O Aala Hamara Nabi
سب سے اَولیٰ و اعلیٰ ہمَارا نبی
Sab Se Aula O Aala Hamara Nabi
Sab Se Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi
Bazm-e-Aakhir Ka Sham-e-Farozan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi
Jis Ko Shayan Hai Arsh-e-Khuda Par Juloos
Hai Woh Sultan-e-Wala Hamara Nabi
Bujh Gayin Jis Ke Aage Sabhi Mashalen
Shama Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi
Jis Ke Talwon Ka Dhoowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi
Arsh O Kursi Ki Thin Aaina Bandiyan
Su-e-Haq Jab Sudhara Hamara Nabi
Khalq Se Auliya, Auliya Se Rusul
Aur Rasoolon Se Aala Hamara Nabi
Husn Khata Hai Jis Ke Namak Ki Qasam
Woh Maleeh-e-Dil Aara Hamara Nabi
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkoor Ho
Namakeen Husn Wala Hamara Nabi
Jis Ki Do Boonden Hain Kausar O Salsabeel
Hai Woh Rahmat Ka Darya Hamara Nabi
Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi
Un Ka, Un Ka, Tumhara Hamara Nabi
Qarnon Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi
Kaun Deta Hai, Dene Ko Munh Chahiye
Dene Wala Hai Sachcha Hamara Nabi
Kya Khabar Kitne Tare Khile Chhup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi
Mulk-e-Kaunain Mein Anbiya Tajdar
Tajdaron Ka Aaqa Hamara Nabi
La-Makan Tak Ujala Hai Jis Ka Woh Hai
Har Makan Ka Ujala Hamara Nabi
Sare Achchon Mein Achcha Samajhiye Jise
Hai Us Achche Se Achcha Hamara Nabi
Sare Oonchon Mein Ooncha Samajhiye Jise
Hai Us Oonche Se Ooncha Hamara Nabi
Anbiya Se Karun Arz Kyun Maliko!
Kya Nabi Hai Tumhara Hamara Nabi
Jis Ne Tukde Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai
Noor-e-Wahdat Ka Tukda Hamara Nabi
Sab Chamak Wale Ujalon Mein Chamka Kiye
Andhe Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi
Jis Ne Murdah Dilon Ko Di Umr-e-Abad
Hai Woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi
Ghamzadon Ko Raza Muzhda Dijiye Ke Hai
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi