Halqe mein Rasoolon ke woh Maah-e-Madani hai
حلقے میں رسولوں کے وہ ماہ مدنی ہے
Halqe mein Rasoolon ke woh Maah-e-Madani hai
Kya chaand ki tanveer sitaron mein chhani hai
Keh de mere 'Isa se Madine mein yeh koi
Ab jaan par beemar-e-muhabbat ke bani hai
Mehboob ko be dekhe hue laut rahe hain
Ushshaq mein kya rang Uwais Qarni hai
Ghar se kahin achha hai Madine ka musafir
Yaan subh watan, shaam ghareeb-ul-watani hai
Mi'raaj mein hooron ne jo dekha to yeh boleen
Kis nok-e-palak ka yeh jawaan Madani hai
Ik umr se jalta hai magar jal nahin sakta
Kis shama ka parwana Uwais Qarni hai
Ushshaq se poochhe na gaye Hashr mein a'maal
Kya bigri hui baat muhabbat se bani hai
Yaad-e-Ahmad-e-Mukhtaar ki hai Ka'bah-e-dil mein
Makkah mein ayaan jalwa-e-Maah-e-Madani hai
Kis shauq se jaate hain Madine ke musafir
Mehboob watan se kahin yeh be-watani hai
Kehta hai musafir se yeh har nakhl-e-Madina
Aaraam zara le lo, yahan chhaon ghani hai
Aaghosh-e-tasawwur mein bhi aana nahin mumkin
Hooron se bhi barh kar teri naazuk badani hai
Allah ke Mehboob se hai ishq ka da'wa
Bandon ka bhi kya hausla, Allah Ghani hai
Aankhon se tapakta hai meri rang-e-Uwaisi
Jo lakht-e-jigar hai woh aqeeq-e-Yamani hai
Main us ke ghulamon mein hoon jo sab ka hai Aaqa
Sardar-e-Rusul Sayyid-e-Makki Madani hai
A'da ne jahan maangi amaan ruk gayi chal kar
Shamsheer-e-Husaini mein bhi khulq-e-Hasani hai
Har dil mein hai Mehboob-e-Ilahi ki tajalli
Har aaine mein aks-e-jamaal-e-Madani hai
Maqtal hai chaman, na'sh pe hooron ka hai majma'
Kya rang mein doobi meri khooneen kafani hai
Pahunchi hain kahan aahein Uwais Qarni ki
Baghon mein Madine ke hawa-e-Yamani hai
Kuch madh padhun Roza-e-Pur-Noor pe chal kar
Yeh baat Ameer ab to mere dil mein thani hai