Kya Moujza Hai Arsh Par Jana Rasool Ka
Mil Kar Kkhuda Ki Zaat Se Aana Rasool Ka
Koi Kere Ga Kya Bayan Rutba Rasool Ka
Hai Saari Kaayenaat Mein Charcha Rasool Ka
Ik Taazgi Utarti Gai Meri Rooh Mein
Mere Labon Pay Naam Jab Aaya Rasool Ka
Arz O Samaa Pay Is Liye Hai Jashnn Ka Samaa
ArSh e Bareen Pay Aaj Hai Jana Rasool Ka
Meraj Par Bhi Bakhshishen Ummat Ki Fikar Thi
Aehsaan Ummati Pay Hai Kitna Rasool Ka
Roohul Ameen Se Pochhiye Chooma Tha Aap Naay
Kitna Hasseen Tha Paon Ka Talwa Rasool Ka
Asif Usay Ho Mout Ki Sakhti Ka Khauf Kyun
Jis Ki Nazar Ke Samnay Ho Chehra Rasool Ka