Naat Academy Naat Academy

Madina Madina Madina Madina Naat Lyrics

Madina Madina Madina Madina

Yahi kehte marna yahi kehte jeena

Nazar gumbade sabz par dil Madina

Jo aise main maut aaye jeena hi jeena

Na poocho meri zindagi ka qareena

Madina kabhi dil kabhi dil Madina

Madine se main door mujh se Madina

Ye jeena hai koi jeene mein jeena

Maza de raha hai ghame ishqe Aaqa

Jo girte hain aansoo wo ban kar nageena

Tumhe doobte jab kisi ne pukara

Har ek mauj ban kar ke aayi safeena

Jahaan ko main baaghe iram se badal du

Jo mil jaaye Aaqa tumhara paseena

Na chedo mujhe aye nakeero na chedo

Woh dekho woh aa ponhche Shahe Madina

Yeh kaaba, yeh zamzam, Safa aur Marwah

Madine se hai sab ki raunak Madina

Yahi Aakhri hai tamannaye  Khushtar

Idhar Rooh nikle Udhar ho Madina

1.2k