بِسْمِ اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم
Woh sarwar e kishwar e risaalat jo arsh par jalwah gar huwe thay
Woh sarwar e kishwar e risaalat jo arsh par jalwah gar huwe thayNaye niraale tarab kay saamaan 'Arab key mehman kay liye thay
Bahaar hay shaadiyaan mubaarak chaman ko aabaadiyan mubaarakMalak falak apni apni lay mein yeh ghar 'anaa dil ka boltay thay
Wahaan falak par yahaan zameen mein rachi thi shaadi machi thi dhoomeinUdhar say anwaar hanstay aatay idhar say nafhaat utth rahay thay
Yeh chhoott parrti thi unkay rukh ki kay 'arsh tak chaandni thi chhatkiWoh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasab aainay thay
Nayi dulhan ki phaban main ka'aba nikhar kay sanwara sanwar kay nikhraaHajar key sadqay kamar key ik til main rang laakhon baanaw key thay
Nazar main dulhaa key pyaaray jalway hayaa say mehraab sar jhukaayaeSiyaah parday kay munh par aanchal tajalliy e zaat e bahat say thay
Khushi kay baadal umand kay aaye dilon kay taaoos rang laayeWoh naghmaa e na'at ka samaan tha Haram ko khud wajd aa rahe thay
Yeh jhooma Meezaab e zar ka jhoomar ki aa raha kaan par dhalak karPhuhaar barsi to moti jhar kar Hateem ki gaud mein bharey thay
Dulhan ki khushboo say mast kapray naseem e gustaakh aanchlon sayGhilaaf e mushkeen jo ur raha tha ghazaal naaf e basa rahay thay
Pahaariyon ka woh husn e Taz'een woh oonchi choti woh naaz o tamkeenSabaa say sabzah main lehrein aa teen dupattay dhaani chunay huye thay
Nahaa kay nehron nay woh chamakta libaas aab e rawaan kaa pehnaKay maujein chhariyaan thi dhaar lachkaa habaab e taabaan kay thal tikey thay
Puraana purdaagh malgajaa tha utthaa diya farsh chaandni kaaHujoom e taare nigah say koson qadam qadam farsh baadley thay
Ghubaar ban kar nisaar jaayein kahaan ab uss rah guzar ko paayeinHamaaray dil hooriyon ki aankhein farishton kay par jahaan bichhe thay
Khuda hee day sabr jaan e purgham dikhaaoon kyun kar tujhay woh 'aalamJab unko jhurmat mein lay kay qudsi jina kaa dulha bana rahay thay
Utaar kar unkay rukh ka sadqa yeh noor ka bat raha tha baarakay chaand suraj machal machal kar jabeen ki khairaat mangtay thay
Wohi to ab tak chalak raha hay wohi to joban tapak raha hayNaahanay may jo gira tha paani katoray taaron nay bhar liye thay
Bachaa jo talwon ka unkay dhowan banaa woh Jannat ka rang o roganJinhon nay dulhaa ki payi utran woh phool gulzaar e noor kay thay
Khabar yeh tehweel e maher ki thi kay rut suhaani gharri phiray geeWahaan ki poshaak zeb e tan ki yahaan ka joraa barhaa chukay thay
Tajalliy e Haq ka sehra sar par salaat o tasleem ki nichaawarDo ruya qudsi parey jamaa kar kharey salaami kay waastey thay
Jo hum bhi waan hotay khaak e gulshan lipat kay qadmon say letey utranMagar karein kya naseeb main to yeh naamuraadi kay din likhay thay
Abhi na aaye thay pusht e zeen tak kay sar hui maghfirat ki shillakSadaa shafaa'at nay di mubaarak! gunaah mastaana jhoomtay thay
Ajab na tha rakhsh ka chamakna ghazaal e dam khurdah saa bharaknaShu'aaein bukkay urraa rahi theen tarapte aankhon pay saa'iqay thay
Hujoom e ummeed hay ghataao muraadein day kar inhein hataaoAdah ki baagein liye barhaao malaaika may yeh ghal ghale thay
Utthi jo gard e rah e munawar woh noor barsaa kay raaste bharGhiray thay baadal bharay thay jal thal umand kay jungle ubal rahay thay
Sitam kya kaisi mat kati thi qamar woh khaak unkay rah guzar kiUtthaa na laaya kay maltay maltay yeh daagh sab dekhta mitey thay
Buraaq kay naqsh e sum kay sadqe woh gul khilaaye kay saarey rasteyMehaktay gulban mehaktay gulshan hare bhare lahlaha rahe thay
Namaaz e Aqsa mein tha yehi sir 'ayaan ho ma'ni e awwal aakhirKay dast basta hain pichey haazir jo saltanat aagay kar gaye thay
Yeh unki aamad ka dab daba tha nikhaar her shaiy ka ho raha thaNujoom o aflaak jaam o meena ujaaltay thay khangaaltay thay
Naqaab ultay woh mehr e anwar jalaal rukhsaar garmiyon parFalak ko haibat say tap charrhi thi tapaktay anjum kay aablay thay
Yeh joshish e noor ka asar tha key aab e gohar kamar kamar thaSafaa e rah say phisal phisal kar sitaare qadmon pay laut tey thay
Barhaa yeh lehra kay behr e wahdat key dhul gaya naam e raige kasratFalak key teloon ki kiya haqeeqat yeh arsh o kursi do bulbule thay
Woh zill e rehmat woh rukh key jalwe key taare chupte na khilne paateSunehri zarbaft udi atlas yeh than sab dhoop chaaon key thay
Chalaa woh sarve e chamaan khiraamaan na ruk saka sidrah say bhi daamanPalak jhapakti rahi woh kab kay sab aen o aan say guzar chuke thay
Jhalak see ik qudsiyon par aayi hawa bhi daaman ki phir na paayiSawaari dulha ki door pohonchi baraat main hosh hi gaye thay
Thakay thay Rooh ulameen key baazu chhuta woh daaman kahaan woh pehlooRikaab chhooti ummeed tooti nigaah e hasrat key walwaley thay
Rawish ki garmi ko jis ney socha dimaagh say ik bhabuka phootaKhir'ad key jungle mein phool chamka dahar dahar payr jal rahe thay
Jilo mein jo murgh e aqal uray thay 'ajab buray haalon girtay partayWoh sidrah hee par rahey thay thak kar charhaa thaa dam tewar aa gaye thay
Qavi they murghan e waham kay par uray to urnay ko aur dam bharUtthaayi seenay ki aisi tthokar kay khoon e andesha thoo'ktay thay
Suna yeh itnay mein 'arsh e Haq nay kay lay mubaarak ho taaj waaleyWohi qadam khair say phir aaye jo pehle taaj e sharaf tere thay
Yeh sunkay baay khud pukaar uttha nisaar jaaon kahaan hain AaqaPhir unkay talwon ka paaoon bosa yeh meri aankhon kay din phire thay
Jhukaa tha mujre ko 'arsh e aa'la gire they sajde may bazm e baalaYeh aankhein qadmon say mal raha tha woh gird e qurbaan ho rahay thay
Ziyaaein kuch 'arsh par yeh aayin kay saari qindeelen jagmagaayiHuzoor e khursheed kya chamaktay charaagh moonh apna dekhtay thay
Yehi samaan tha kay paik e rehmat khabar yeh laaya kay chaliye HazratTumhaari khaatir kushaada hain jo kaleem per band rastaay thay
Barh aay Muhammad qareen ho Ahmad qareeb aa sarwar e mumajjadNisaar jaaon yeh kya nida thi yeh kya samaan tha yeh kya mazay thay
Tabaarakallah shaan teri tujhi ko zaiba hay bayniyaaziKahin to woh josh e lan tarani kaheen taqaazay wisaal kay thay
Khirad say keh do kay sar jhukaa lay gumaan say guzray guzarnay waalayPare hain yaan khud jaihat ko laalay kisay bataaye kidhar gaye thay
Suraagh ain o mataa kahaan tha nishaan e kaif o ilaa kahaan thaNah koi raahi nah koi saathi nah sang e manzil nah marhalay thay
Udhar say payham taqaazay aana idhar tha mushkil qadam barhaanaJalaal o haibat ka saamna tha jamaal o rehmat ubhaartay thay
Barhay to lekin jhi jhaktay dartay hayaa say jhuktay adab say ruktayJo qurb unhi ki ravish pay rakhtay to laakhon manzil kay faaslay thay
Par unka barhna to naam ko tha haqeeqa'tan fail tha udhar kaTanazzulon mein taraqi afza dana tadalla key silsilay thay
Huwa nah aakhir kay aik bajra tamoojay bahr e hoo mein ubhraDanaa ki godi mein unko lekar fana kay langar uttha diye thay
Kisay milay ghaat ka kinara kidhar say guzra kahaan utaaraBhara jo misl e nazar taraaraa woh apni aankhon say khud chupay thay
Utthay jo Qasr e danaa kay parde koi khabar dey to kya khabar dayWahaan to jaa hee nahin duee ki na keh kay woh bhi na thay aray thay
Woh baagh kuch aisa rang laaya kay guncha o gul ka farq utthayaGirah mein kaliyon ki baagh phoolay gulon kay tukmay lagay huay thay
Muheet o markaz mein farq mushkil rahe na faasil khutoot e waasilKamaanein hairat mein sar jhukaaye 'ajeeb chakkar mein daaeray thay
Hijaab utthnay mein laakhon parde har aik parday main laakhon jalway'Ajab ghari thi kay wasl o furqat janam kay bichray galay milay thay
Zabaanein sookhi dikha kay mojein tarap rahi thi kay paani paayeinBhanwar ko yeh zofay tashnagi tha kay halqay aankhon mein par gaye thay
Wohi hay awwal wohi hay aakhir wohi hay baatin wohi hay zaahirUsi kay jalway usi say milnay usi say uski taraf gaye thay
Kamaan e imkaan kay jhootay nuqto tum awwal akhir ki phair mein hoMuheet ki chaal say to poochho kidhar say aaye kidhar gaye thay
Idhar say thin nazr e shah namaaz'ein Udhar say in'aam e khusravi meinSalaam o Rehmat kay haar gundh kar guloo e pur noor mein paray thay
Zabaan ko intezaar guftan to gosh ko hasrat e shuneedanYahaan jo kehna tha keh liya tha jo baat sun ni thi sun chukay thay
Woh burj e bat ha ka maah paarah bahesht ki sair ko SidhaaraChamak pay tha khuld ka sitaarah kay uss qamar kay qadam gaye thay
Suroor e maqdam ki roshni thi keh taabishon say mah e 'arab kiJinaan kay gulshan thay jhaar farshi jo phool thay sab kanwal banay thay
Tarab ki naazish kay haan lachakiye adab woh bandish kay hil na sakiyeYeh josh e zideen tha keh paudey kashaa kash e arrah kay talay thay
Khuda ki qudrat keh chand Haq kay karoron manzil mein jalwa kar kayAbhi na taaron ki chhaaon badli keh noor kay tarkay aa liye thay
Nabi e Rehmat Shafi' e Ummat Raza pay Lillaah ho 'inaayatIsay bhi unn khil'atoon say hissa jo khaas rahmat kay waan bate thay
Sanaa e Sarkaar hay wazifa qabool e Sarkaar hay tamannaNa shaa'iri ki hawas na parwah rawi thi kya kaisay qafiye thay