Nazare Hain Go Lakhoon Jahan Bhar Ke Nazar Mein Hai Kaif Magar Aur Madeene Ke Safar Mein
Ae Sahibe Laulak Teri Bheek Ki Khatir Baithy Hain Shahenshah Teri Raah Guzar Mein
Ae Gunbad Khazra Tere Anwaar Pe Qurban Kuch Farq Nazar Aata Nahi Shaam O Sahar Mein
Hai Jalwa-e-mahboobﷺ Ki Ye Khaas Nishani Ate Hain Nazar Woh To Kisi Deeda-e- Tar Mein
Dekha Jo Madeene Mein Kahin Aur Nah Dekha Jalwon Ko Sajaye Ga Bhala Kon Nazar Mein
Firdous Nazar Kyun Na Banin Woh Dar O Deewar Sarkarﷺ Jo Aa Jayen Gnahgar Ke Ghar Mein
Taiba Ke Siwa Daikhon Na Kuch Aur Zahoori Anwaare Madina Hain Mare Qalb O Jigar Mein
Kalaam : Mohammad Ali Zahoori
نظارے ہیں گو لاکھوں جہاں بھر کے نظر میں ہے کیف مگر اور مدینے کے سفر میں
اے صاحبِ ﷺ لو لاک تری بھیک کی خاطر بیٹھے ہیں شہنشاہ تری راہ گزر میں
اے گنبد خضرا ترے انوار پہ قرباں کچھ فرق نظر آتا نہیں شام و سحر میں
ہے جلوہ محبوبﷺ کی یہ خاص نشانی آتے ہیں نظر وہ تو کسی دیدہ تر میں
دیکھا جو مدینے میں کہیں اور نہ دیکھا جلوؤں کو سجائے گا بھلا کون نظر میں
فردوسِ نظر کیوں نہ بنیں وہ در و دیوار سرکارﷺ جو آ جائیں گہنگار کے گھر میں
طیبہ کے سوا دیکھوں نہ کچھ اور ظہوری انوار مدینہ ہیں مرے قلب و جگر میں
کلام: محمد علی ظہوری