Sarkar Karam Ke Sadqe Main Khuwaja Ka Rouza Dekh Liya Khuwaja Ki Ghareeb Nawazi Ka Darbaar Main Naqsha Dekh Liya
Sarkar Main Jholi Phela Kar, Maango To Kya Kuch Pao Ge Allah Ke Fazl O Rahmat Se Dete Hain Khuwaja Dekh Liya
Jo Le Ke Tamanna Aata Hai, Wo Le Ke Murade’n Jata Hai Andaz E Talab Bhi Dekh Liya, Andaz E Ataa Bhi Dekh Liya
Rahmat Ke Khazane Bhi Be Had, Khuwaja Ki Sakhawat Bhi Be Had Dete To Nahin Dekha Hai Magar, Daman Jo Bhara Tha Dekh Liya
Darbaar Moeeni Se Be Shak, Mahroom Raha Jo Munkir Tha Kitne Hi Tamanna Walon Ko Wasil Ba Tamanna Dekh Liya
Miskeen O Tawangar Sab Yaksa’n, Jazbaat Se Khinche Aate Hain Eik Qabar Main Sone Wale Ka, Insano’n Pe Qabza Dekh Liya
Ush’shaaq Ka Majmaa Rouza Par, Parwano Sa Umad Aata Hai Kya Shamma Jamal E Anwar Main Sarkar Ka Rouza Dekh Liya
Jis Noor Ka Jalwa Kaaba Aur Taiba Ko Munawwar Karta Hai Baghdad Main Aur Ajmair Main Bhi Us Noor Ka Jalwa Dekh Liya
Jitne Bhi Wali Hain Aalam Main, Agwas Bhi Hain, Aqtab Bhi Hain Har Ghaus O Wali, Abdal Pay Hai Faizan E Madina Dekh Liya
Aik Dhoom Hai Allah Walon Ki, Ik Shor Macha Hai Bahoo Ka Nekon Ke Sabab Badkaro’n Par, Inaam Walii Ka Dekh Liya
Mardon Ke Hajhoom Be Had Hain, Hain Aurtain Bhi Aur Bachay Bhi Tehzeeb O Haya Ka Khoo Hum Ne, In Aankho’n Se Hota Dekh Liya
Is Par Bhi Karam Ne Khuwaja Ke Mahroom Kisi Ko Kab Chora Rote Hoye Aane Wale Ko, Hansta Howa Jata Dekh Liya
Burhan Par Bhi, Hamid Par Bhi, Hafiz Pe Ali Ahmed Par Bhi Aur Jaan Mohammad Aur Ziya Par Noori Ka Sadqa Dekh Liya
Jazbaat E Burhan : Burhan Ul Haq Jabal Poori