top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Ghous E Azam Ka Deewana Jo Hai Khwaja Ka Mastana Jo Muhammad Pe Dil Se Fida Hain Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jab Wo Paida Hua Noori Saaye Tale Baatil E Najd Mein Aa Gaye Zalzale Kaise Uski Fazeelat Ka Suraj Dhale Jiski Azmat Ka Sikka Arab Me Chale Jiska Khaaye Uska Gaaye Uska Naara Hum Lagaye, Jiska Naara Arab Mein Laga Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jisne Ishq E Nabi Mein Utha Ke Qalam Mustafa Jaan E Rehmat Kiya Hai Raqam Bad Aqeedoh Ka Jisne Giraya Alam Jisne Sarr Najdiyat Kiya Hai Qalam Jab Bhi Ye Kisi Ne Poocha Har Taraf Se Naara Gunja, Ke Wo Khwaja Piya Ki Ataa Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Dasvi Tareekh Thi Maahe Shavval Tha Ghar Naqi Khan Ke Beta Paida Hua Naam Ahmad Raza Uska Rakhha Gaya Aala Hazrat Zamane Ka Wo Bann Gaya Ilm O Hiqmat Ka Khazana Ho Mujaddid E Zamana Najdiyo Se Jo Tanha Lada Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jab Raza Kha(n) Ko Bay’at Ki Khwaish Hui Pohache Marehra Wo Umr Baayis Ki Thi Faiz E Barkaat Se Aysi Barkat Mili Saath Bay’at Ke Fauran Khilafat Mili Aala Hazrat Unko Tanha Sirf Main Hi Nahi Kehta Achhe Achho Ko Kehna Pada Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

27 views

Recent Posts

See All

شہر نبی ﷺ تیری گلیوں کا

Shehre Nabi ﷺ Teri Galiyo Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai Dil Ko Sukun De Aankh Ko Thandak Rouza Hi Kuch Aisa Hai Farshe Zami Par Arshe Bari Ho Lagta Hi

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام دنیا کے بادشہ بھی اسی در کے ہیں غلام تیرا غلام وہ کہ جو شاہوں کو بھیک دے نسبت نے دے دیا ہے بلندی کا وہ مقام دیکھیں گے حشر میں تری وہ شان پرجمال بے شک کرم بنائے گا ا

bottom of page