Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat Yaad bhi ab toh nahi ranj o alam ki surat
Khwab mein dekhun agar daafae gum ki surat Phir na waqae ho kabhi ranj o alam ki surat
Aable paon mein pad jaen jo chalte chalte Raah-e-Taiba mein chalun sir se qadam ki surat
Moom hai Unke qadam ke liye dil pathar ka Sang ne dil mein rakhi Unke qadam ki surat
Teri tasvir khinche rue munawwar kyun kar Kaise khinche koi misbahe zulam ki surat
Aaen jo khwab mein woh ho shabe gum eid ka din Jaen to eid ka din ho shabe gum ki surat
Bhed ko khauf na ho sher se jo Tum chaho Tum jo chaho to bane shere ganam ki surat
Surat-e-Paak woh be-misl hai pai Tum ne Jiski saani na arab aur na ajam ki surat
Dum nikal jae mera raah mein Unki noorie Unke kuche mein rahun naqshe qadam ki surat