Tajdare madina ke jalway Jin ke dil mein samaye hue hein Door reh kar wo pur ba aashna hein Dil madina banaye hue hein
Jinko unki tawajjoh ne pala Unki rehmat ne jinko nawaza Un gadaon ka kya puchhte ho Wo zamane pe chhaye hue hein
Mere aaqa ki jin par nazar hai Donon aalam ki unko khabar hai Jinka maksood unka hi dar hai Saare asraa wo paaye hue hein
Aale at’har ka sadka ata ho Muflisi ka hamari bhala ho Ae sakhi aap ke dar pe ham bhi Damane dil bichhaye hue hein
Tees paron mein jo kuchh likha hai Sar ba sar sirate mustafa hai Unki sirat mein jo dhal gaya hai Us pe rehmat ke saaye hue hein
Meri aukat kuchh bhi nahin hai Khud meri zaat kuchh bhi nahin hai Mere sarkar ka ye karam hai Baat meri banaye hue hein
Aarazu e karam dil mein le kar Khali dil ke sakhi aastan par Angaliyan auliya asfiyan sab Apne kaase badhae hue hein