top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Tajdar e Haram Nigaah e Karam

Kismat mein meri chain se jeena likhde Doobe na kabhi mera safeena likh de Jannat bhi gawara hai, magar mere liye Aye Kaatib-e-Taqdeer, Madina likhde

Tajdar-e-Haram, ho Nigaah-e-Karam (x2) Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge

Haami-e-bekasaan, kya kahega jahan (x2) Aapke dar se khaali agar jayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Koi apna nahi gham ke maaray hain hum (x2) Aapke dar pe faryaad laaye hain hum Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum (x2) Aapka naam le le ke mar jaayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Kya tumse kahoon aye Arab ke Kunwar Tum jaanat ho mann ki battiyaan Dar-e-furqat toh aye ummi-laqab Kaate na kat ti hai ab rattiyaan Turi preet mein sudh budh sab bisri Kab tak rahegi yeh beqabri Gaahe ba-figan duzdeedah nazar Kabhi sun bhi toh lo hamri battiyaan Aapke darr se koi na khaali gaya (x2) Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya Ho habeeb-e-hazin (x2) par bhi Aaqa nazar Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Maikashon aao aao Madine chalen Aao Madine chalen, Aao Madine chalen Isi mahine chalen, Aao Madine chalen

Tajalliyon ki ajab hai fizaa Madine mein Nigah-e-shauk ki hai inteha Madine mein Gham-e-hayat na khauf-e-kazaa Madine mein Namaz-e-ishq karenge ada Madine mein Barah-e-raas hai raahe-e-Khuda Madine mein

Aao Madine chalen, Aao Madine chalen Isi mahine chalen, Aao Madine chalen Maikashon aao aao Madine chalen Dast-e-Saaqi-e-Kausar se peene chalen Yaad rakho agar (x2), uth gayi ek nazar Jitne khaali hai sabb jaam bhar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr Sakht mushkil hai Aaqa kidhar jayen hum Ap hi agarr na lenge hamari khabar Hum musibat ke maaray kidhar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Ya Mustafa, ya Mujtaba, Eraham-lana, Eraham-lana Dast-e-hama, bechara ra Daama tuhi, daama tuhi Mann aasiyam, Mann ajizam Mann bekasam, Haal-e-mara Pursan tuhi, pursan tuhi Aye Mushtub-e-Zumbar fishaan Paike Naseem-e-Sub hadam Aye Charagar Insa-nafas Aye Muliseh beemar-e-gham Aye Qaasid-e-parkhundapaye Tujhko usi gul ki kasam Innil taya ree has saba Yauman ila-ardil-Haram Balligh Salami Roza tann Fi-han Nabi-al-Mohtaram Tajdar-e-Haram, ho nigaah-e-karam Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Haami-e-bekasaan kya kahe ga jahan Aapke dar se khaali agar jayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

20 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ مِرے صدّیقِ اکبر کا عمر فاروق، عثمانِ غنی، حیدر علی سے بھی مقا

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ سکا سانپ پہرے داری سے ہے خوب تیری رفاقت ابوبکر صدیق فقط بشر ہی

bottom of page