top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Taibah rashk e jinah khuld zaar Allah Allah Allah

Jis tarah dekhiye hai bahar Allah Allah Allah

Yahan raat deen hai farishte utarte Mazar E Nabi per salam arza karte Merhaba Roza E Tajdar Allah Allah Allah

Tabassum may unke hai jannat ki kunji, Ishare may unke shafa-at ki kunji Shafa-o-maunis-o gamgushar Allah Allah Allah

Sana unki aayat e qur-an may aayi, Unhi ke liye rab ne duniya banayi, Hai wohi rehmat-e-kirdigar Allah Allah

Shafa-at ka shehra bandha unke sar per, Kiya rab ne unko ataa houz-e-kausar, Unka hai khuld per ikhtiyar Allah Allah Allah

Sabhi ambiya ko hai haajat unhi ki, Hai bakshish ka saman inayat unhi ki, Mere aaqa ki hai sab bahar Allah Allah Allah

Unhe gaib ka ilm rab ne diya hai, Khazano ka MUKHTAR unko kiya hai, Hai wohi QASIM E ROZGAR Allah Allah Allah

Woh mairaajwale, Wohi raajwale, Woh minhaajwale, Wohi taajwale, Jannato ke wohi sehr-e-yaar Allah Allah Allah

Sadaqat unhi ki, adalat unhi ki, Sakhawat unhi ki, Shuja-at unhi ki Hai wohi taajwar taajdar Allah Allah Allah

Wohi sarwar-e-kishwar-e-mursala hai, Woh mamdooh-e-qur-an, Woh ima-n ki jaan hai, Unke awsaf hai beshumar Allah Allah Allah

Woh ikhlaswale, woh ikhlaqwale, Woh ejazwale, woh misaqwale , Shan-e-rabzi hashma bawaqar Allah Allah Allah

Fashat may yakta balagat may yakta Nabuwat may yakta, risalat yakta, Aap hai yaka-e-rozgar Allah Allah Allah

Padho NAZMI unki sana padhte jao, Har ek saans salle ala padhte jao, Wajda may jhoomkar bar-bar Allah Allah Allah

5 views

Recent Posts

See All

شہر نبی ﷺ تیری گلیوں کا

Shehre Nabi ﷺ Teri Galiyo Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai Dil Ko Sukun De Aankh Ko Thandak Rouza Hi Kuch Aisa Hai Farshe Zami Par Arshe Bari Ho Lagta Hi

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام دنیا کے بادشہ بھی اسی در کے ہیں غلام تیرا غلام وہ کہ جو شاہوں کو بھیک دے نسبت نے دے دیا ہے بلندی کا وہ مقام دیکھیں گے حشر میں تری وہ شان پرجمال بے شک کرم بنائے گا ا

bottom of page