نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
1338 items found for ""
- Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Written by:GULAM HAFEEZ CHISHTI
Ya nabi muhtasham lillah kardo karam Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Rakhna dono jaha mai hamara bharam Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Ghera daale huwe hai ye duniya ke gam Ghut raha hai yaha mera aaqa ye dam Lillah kardo karam aaqa kardo karam Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Tere dar ki ziyarat chahte hai ham Khaak dar ki tere aaqa chahte hai ham Or madine mai nikle hamara ye dam Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Khali jholi hai aaqa phaylaye ham Ham faqiro pe aaqa nigahe karam Sadqa hasnain-o-zehra ka chahte hai ham Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Ho zuban mai wo taasir aaqa mere Ke jab mai naate phadu to ho aankhe ye nam Raazi hojaay isse ha shaahe umam Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Hazri ho tere dar pe HAFEEZ ki Jald isko bhi dikhlade tera haram Or banade ise to gadaye haram Ham garibo ke aaqa kaha jaaye ham Written by:GULAM HAFEEZ CHISHTI
- Mere Aqa Nigahe Karam Naat Lyrics
Bheek ‘ata ae Nabi (SAW) Muhatasham ho, Meray Aaqa (SAW) nigah e karam ho. Deed ka hun talab gaar Aqa (SAW), hun agar che gunah gaar Aaka (SAW), Ik jhalak apni Sarkar Aaqa (SAW), Aab dikha do na ik baar Aka (SAW), Iss gunah gaar par bhi karam ho, Mere Aaqa (SAW) nigahe karam ho. Choot jaye gunahon ki aadat, Rab (SWT) ki dil se karoon mein ibadat, Aisi kar de tu nazr e inayat, Bas tere gham main maah e risalat, Dil tarapta rahe aankh nam ho, Meray Aaqa (SAW) nigahe karam ho. Hai tamanna meri mere dilbar, Dekh lun kash har saal aa kar, Teri masjid kay mehraab o minbar, Aur roze ka pur kaif manzar, Phir bayan haal ba chashm e nam ho, Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho. Yaad aata hai mujh ko woh manzar, Jab chala tha Madine se dilbar, Muztarib qalb tha aankh thi tar, Us ghari ‘arz ye thi zabaan par, Baar baar aaoon aisa karam ho, Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho. Arz karta Obaid e Raza hai, Jo tere dar ka adna gada hai, Mushkilon mein shaha ye ghira hai, Tujh se imdad yeh chahta hai, Door iska har ik runj o ghum ho, Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho. Hai yaqeen ‘arz meri suno ge, Laaj Lajpaal meri rakho ge, Rahmatein khaas apni karo ge, Aaj daman mera bhi bharo ge, Ya Nabi (SAW) taajdaar e haram ho, Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
- Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Naat Lyrics
Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Ya Shafi E Umam Lillah Kardo Karam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Teri Choukhat Ke Mangtay Hai Jaaye Kahan Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan Ya Rasoolallah Teri Choukhat Ke Mangat Hai Jaaye Kahan Apni Rahmat Se Bhar Dijiye Jholiyan Hum Hai Umeed Wale Karam Ho Karam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Muntashir Hai Hayaalat Ki Vah Diyah Lut Gaya Hai Sakoon Valiye Doh Jahaan Door Ho Jaye Gham Ya Shah-e-mohataram Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Ya Nabi Apni Ulfat Ki Soh Baat De Apni Shayan-e-shah Hum Ko Khairaat De Iss Se Matlab Nahi Ke Siva Ho Ya Kam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Teri Yaadon Se Maamoor Seenah Rahe Saamne Meray Tera Madinah Rahe Dar Pay Baita Rahu Leke Mein Jash Mein Lam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Kiss Ko Jaakar Kahe Taajdaar-e-haram Dera Dale Hue Hain Zamaane Ke Gham Rahmat Farma De Abh Teri Ummat Hain Hum Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Meray Haatho Mein Ka Sah Hai Umeed Ka Hoo Bekari Shahah Mein Teri Deedh Ka Mein Gadah-e-haram Tu Nabi Mohataram Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Haazri Ho Niyazi Ki Darbaar Mein Zindagi Ho Bass Teray Asghaar Mein Aate Jaatey Rahe Teri Choukhat Pe Hum Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Hum Ghulamon Ka Rakhna Khudara Bharam Shala Wasda Raway Tera Sohna Haram Tera Sohna Haram
- Do good, no matter how small it seems to you, because you do not know which good deed will enter you
Do good, no matter how small it seems to you, because you do not know which good deed will enter you into Paradise.
- Oj Paana Mere Hazoor Ka Hai, Arsh Jaana Mere Hazoor Ka Hai Naat lyrics
Oj Paana Mere Hazoor Ka Hai, Arsh Jaana Mere Hazoor Ka Hai. Arsh Se Bhi Paray Woh Ho Ae, Aana Jaana Mere Hazoor Ka Hai. Shadiyane Bajay Shab e Mairaj, Aaj Jana Meray Huzoor Ka Hai. Haq Ta’aala Ka Jalwa Raaton Raat, Daikh Aana Mere Hazoor Ka Hai. Baithay Baithay Madinah Ghoom Ae, Kya Bulaana Mere Hazoor Ka Hai. Dainay Waali Hai Zaat Allah Ki, Par Dilaana Mere Hazoor Ka Hai. Qabr Ka Khoaf Ho Mujhay Kyon Kar, Wahan pay aana mery huzoor ka hai. Gam Na Mehsar Ki Dhoop Ka Hai Waan, Shamiyana Mere Huzur Ka Hai. Kash Kehnay Lagain Yeh Log Obaid, Tu Deewana Mere Hazoor Ka Hai Dil Ubaid E Raza Ka Hai Gulshan, Dil Sajana Mere Huzur Ka Hai. Main Hoon Tayyar Intezar Yeh Hai, Kab Bulaana Mere Hazoor Ka Hai. La’al-o-yaqoot-o-neelam-o-marjaan, Har Khazaana Mere Hazoor Ka Hai. La’al-o-yaqoot-o-neelam-o-marjaan, Har Khazaana Mere Hazoor Ka Hai. Bhai Bhai Muhajiro Ansar, Dil Milana Mere Huzur Ka Hai. Lalo Yaqut Nilamo Marjan, Har Khazana Mere Huzur Ka Hai. Jame Sheer Ek Sher Sattar Ne, Ye Pilana Mere Huzur Ka Hai.
- Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho Naat Lyrics
Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho
- Dil mein ishq e nabi ki ho aisi lagan Rooh tarapti rahay Naat Lyrics
Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe Zindagi ka maza hey kay har saans say Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey. Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor kay motiyo ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatein, Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha , Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee. Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil machalta rahay, Zindagi ka maza hai kay har saans say, Ya Muhammad Muhammad nikalta rahey
- Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh per jalwah gar huye thay Naat Lyrics
Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh per jalwah gar huye thay Naye nirale tarab kay saaman Arab ke mehman kay liye thay. Bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak Malak falak apni apni lay main yeh ghar ana dil ka boltay thay. Wahan falak per yahan zameen main rachi thi shaadi machi thi dhoomein Udhar say anwar hastay aatay idhar say naf-haat ooth rahay they. Yeh joot padti thi unkay rukh ki kay arsh tak chandni thi chhatki Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasb aainay they Nayi dulhan ki phaban main Kaaba nikhar kay sanwara sanwar kay nikhra Hajar key sadqay kamar key eik til main rang lakhoon banao key they. Nazar main dulha key pyaray jalway haya say mehrab sir jhukaye Siyah parday kay moun per aanchal tajaliye zaat e bahat say thay. Khushi kay badal umand kay aaye diloon kay taoos rang laye Woh naghma e naat ka samaan tha Haram ko khud wajd aa rahe thay Yeh jhooma Mizab e zar ka jhoomer kay aa raha kaan per dhalak ker Phuhar barsi to moti jhar ker Hatim ki gaud mein bharay they. Dulhan ki khushboo say mast kapray nasim e gustakh aanchloon say Gilaf e mushkeen jo oord raha tha ghazal naafe basaa rahay thay. Pahadiyoon ka woh husn e Taz’ee woh oonchi choti woh nazo tamqeen Saba say sabzah main lehrein aateen dupattay dhani chunay huye thay. Naha kay nehroon nay woh chamakta libas aabay rawan ka pehna Ki mauj e chadiyaan thi dhaar lachka habab e tabaan kay thal takay thay. Purana purdag malgaja tha utha diya farsh chandni ka Hajoom e tare nigah say kosoon qadam qadam farsh baadley thay. Ghubar ban ker nisaar jayein kahan ab uss rah guzar ko payein Hamaray dil huriyoon ki aankhein farishtoon kay per jahan biche thay. Khuda hee day sabr jaan e purgham dikhaoon kyun kar tujhay woh a’alam Jab unko jhurmat main lakay qudsi jinaa ka dulha bana rahay thay. Utar ker unkay rukh ka sadqa yeh noor ka but raha tha bada Kay chand suraj machal machal ker jabeen ki khairat mangtay thay. Wohi to ab tak chalak raha hai wohi to joban tapak raha hai Nahanay may jo gira tha pani katoray taroon nay bhar liye thay. Bacha jo talwoon ka unkay dhouwan bana woh Jannat ka rang o roghan Jinhoon nay dulha ki payi utran woh phool gulzar e noor kay thay. Khabar yeh tehweelay maher ki thi kay rut sunhani ghadi phiray gee Wahan ki poshak zay-bay tan ki yahan ka joda badha chukay thay. Tajaliy e haq ka sehra sar per salat o tasleem ki nichawar Do roya qudsi paray jama kar kharhay salami kay waastay thay. Jo hum bhi waan hotay khaq e gulshan lipat kay qadmoon say ley tay utran Magar karein kiya naseeb main to yeh namuradi kay din likhay thay. Abhi na aaye thay pusht e zeen tak kay sir hui maghfirat ki shallak Sada shafa’at nay di mubarak! gunaah mastana jhoomtay thay. Ajab na tha rakhsh ka chamakna gazal e dam khurdasa bhadakna Shuaein bukkay urha rahi theen tadapte ankhoon pay saieqay thay. Hujum e umeed hai ghatao muradein day kar inhein hatao Adab ki baagein liye badhao malaika may yeh ghal ghale thay. Uthi jo garde rahe munawar woh noor barsa kay raaste bhar Ghiray thay badal bharay thay jal thal umand kay jangle ubal rahay thay. Sitam kiya kaisi mat kathi thi qamar woh khak unkay rah guzar ki Utha na laya kay miltay miltay ye daagh sab dekhte mite they Burraq kay naqshe sum kay sadqe woh gul khilaye kay saray rastey Mehaktay gulban mehakte gulshan hare bhare lahlaha rahe thay. Namaz e Aqsa main tha yehi seer ayan houn ma’ani e awwal akhir Key dast basta hain pichey hazir jo salatanat aagay kar gaye thay. Yeh unki aamad ka dab-daba tha nikhar her shaiy ka ho raha tha Nujoom o aflak jam o mina ujaltay thay khangaltey they. Naqab ultay woh mehr e anwar jalal o rukhsar garmiyoon per Falak ko hebat say tap charhi thi tapaktay anjum kay aablay tha Yeh joshishe noor ka asar tha key aabay gohar qamar qamar tha Safaey rah say phisal phisal kar sitare qadmon pay laut’tay thay. Badha ye lehra kay behr o wahdat key dhul gaya naam e raige kasrat Falak key teloon ki kiya haqeeqat yeh arsh o kursi do bulbule thay. Woh zill e rehmat woh rukh key jalwe ke taare chupte na khilne paate Sunehri zarbaft udi atlas yeh than sab dhoop chaoon ke the. Chala woh serve e chamaan kharamaa na ruk saka sidra say damaan Palak jhapakti rahi woh kab kay sab aeno aan say guzar chuke thay. Jhalak see eik qudsiyoon per aayi hawwaa bhi daman ki phir na payi Sawari dulha ki dur pohnchi barat main hosh hi gaye thay. Thakay thay ruhul amin key bazu chuta woh daman kahan woh pehloo Rikab chooti ummeed tuti nigah e hasrat key walwaley thay. Ravish ki garmi ko jis ney socha dimag say eik bhabuka phoota Khirad key jungle main phool chumka dahar dahar ped jal rahe thay. Jiloo main jo murgay a’qal uray thay ajab booray haloon girtay partay Woh sidrah hee per’rahay thay thak kar charha dam tewar aa gaye thay. Qavi they nurgan e waham kay per uray to urdnay ko aur dam bhar Utha’ee seenay ki aisi thokar kay khoonay andesha th’oo’ktay thay. Suna yeh itnay mein arsh e haq nay kay lay mubarak ho taaj waley Wohi qadam khair say phir aaye jo pehle taaj e sharaaf tere thay. Yeh sunkay bay khud pukar utha nisar jaoon kahan hain aaqa Phir unkay talwoon ka paoon bosa yeh meri aankhon kay din phire thay. Jhuka tha mujre ko arsh e aala gire they sajde may bazme bala Yeh aankhein qadmoon say mal raha tha woh girde qurbaan ho rahay thay Ziyaein kuch arsh per yeh aaein kay sari qindileen jhilmilayeen Huzoor e khurshid kya chamaktay chairagh moun apna dekh tay thay. Yehi sam’an tha kay paikay rehmat khabar yeh laya kay chaliye Hazrat Tumhari khatir kushada hain woh jo kalim per band rastaay thay. Badh ay Muhammad qaree ho Ahmed qareeb aa sarwar e mumajjad Nisar jaoon yeh kiya nida thi yeh kiya samaan tha yeh kiya mazay thay. Tabarakallah shan teri tujhi ko zaiba hai bay niyazi Kahin to woh josh e lan-tarani kaheen takazay visal kay thay. Khirad say keh do kay sir jhuka le gumaan say guzray guzarnay walay Pare hain yahan khud jaihat ko laalay kisay bataye kidhar gaye thay. Surag aino mataa kahaan tha nishan e kaifo illa kahan tha. Na koi rahi na koi sathi naa sang e manzil naa merhalay thay. Udar say payham taqazay aana idhar say mushkil qadam barhana Jalal o haibat ka saamna tha jamalo rehmat ubhartay thay. Barhay to lekin jhee-jhaktay dartay haya say jhuktay adab say ruktay Jo qurb unhi ki ravish pay rakhtay to lakhoon manzil kay fasilay thay Per unka barhna to naam ko tha haqeeq’tan fail tha udhar ka Tanazuloon mein taraki afza dana tadalla key silsilay thay. Hua yeh aakhir kay aik bajra tamojay bahrey hoo mein ubhra Dana ki godi mein unko lekar fana kay langar utha diye thay. Kisay milay ghat ka kinara kither say guzra kahan utra Bhara jo misle nazar tarara woh apni aankhoon say khud chupay thay. Uthay jo Qasray dana kay parde koi khabar dey to kiya khabar day Wahan to ja hee nahin duee ki na keh kay woh bhi na thay aray thay. Woh baag kuch aisa rang laya kay guncha o gul ka faraq uthaya Girah mein kal’liyoon ki baag phoolay guloon kay takmay lagay huay thay Muhito markaz mein faraq mushkil rahe na faasil khutoot e wasil Kamaan e hairat mein sir jhukaye ajeeb chakar mein da’eray thay. Hijab uhnay mein lakhoon parde har aik parday main lakhon jalway Ajab ghari thi kay waslo furqat janam kay bichray galay milay thay. Zabanein sukhi dikha kay mojein tarap rahi thien kay pani paein Bhanwar ko yeh zofay tashnagi that kay halqay aankhoon mein par gaye thay. Wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai batin wohi hai zahir Usi kay jalway usi say milnay usi say uski taraf gaye thay. Kaman e imakan kay jhutay nukto tum awwal akhir ki phair mein ho Muhit ki chal say to pucho kidhar say aaye kidhar gaye thay. Udhar say theen nazray shah namaz’ain idhar say inaam e khusravi mein Salam o Rehmat kay haar gundh ker glue e pur noor mein paray thay. Zabaan ko intezar guftan to gos ko hasrat e shunidan Yahan jo kehna tha keh liya tha jo baat sun’ni thi sun chukay thay. Woh burj e batha ka mahpara bahishat ki sair ko Sidhara Chamak pay tha khuld ka sitara kay iss qamar kay qadam gaye thay. Suroor e maqdam ki roshni thi kay tabishoon say mah e arab ki Jina kay gulshan thay jhaar farshi jo phool thay sab kanwal banay thay. Tarab ki nazish kay haan lachakiye adab woh bandish kay hill na sakiye Yeh josh e ziden tha keh poday kasha kish e arah kay talay thay. Khuda ki qudrat keh chand haq kay karoroon manzil mein jalwa kar kay Abhi na taroon ki chaoon badli keh noor kay tarkay aa liye thay. Nabi E Rehmat Shafi E Ummat RAZA pay Lillah ho inayat Isay bhi unn khal’atoon say hisa jo khas rehmat kay waan bate thay Sana e Sarkar hai wazifa qabool e Sarkar hai taman’na Na shayari ki hawas na parwah radi thi kiya kaisay kafiye thay.
- Bolte hain sangareze aapke ishare se Naat Lyrics
Bolte hain sangareze aapke ishare se Dekhe hain shajar chalte aapke ishare se Arz ki sahaba ne aab khari khari hain Bir ho gaye mithe aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Aapko khuda ne di arsho frsh ki kunji Faiz sabko milta hain aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Moajazate shah ki hain dur dur tak shoharat Chand ho gaya tukle aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Tashnagi mitane ko narm narm hatho se Jari ho gaye chashme aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Bhai bhai kar dala dushmane lahu jo the Inkalab dekha hain aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Arl madad kaha jab bhi mene moje tufa main Mil gaye kinare se aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Aapki jo mansha hain rab ki wo hi mansha hain Sab nizam chalte hain aap ke ishare se Bolte hain sangareze ……………………….. Suae khuld jaaega dekhna ujagar bhi Aap ki shafaat se aap ke ishare se Bolte hain sangareze ………………………..
- Bheeni Suhani Sub’h Mein Thandak Jigar Ki Hai Naat Lyrics
Bheeni Suhani Sub’h Mein Thandak Jigar Ki Hai Kaliyaa(n) Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai. Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai Chubhti Huwi Jigar mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai. Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai. Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai. Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai. Kalik Jabee(n) Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai. Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh se Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai. Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai. Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai. Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai. Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao Ye Raahey Jaa(n) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai. Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri MarMar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai. Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai. Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai. Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai. Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai. Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai. Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai. Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai. Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai. Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb Bey Hukm Kab Majaal Parinde ko Par ki Hai. Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai Ye Badliya(n) Na ho To Karooro(n) ki Aas Jaye Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai. Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai. Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai. Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai. Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai. Hai Chatro Takht Saya-e Dewaaro Khaake Dar Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai. Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai, Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai. Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai Jo Aaj Jholiyo mei Gadhayaane Dar Ki Hai. Jaaru-kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai. Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai. Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido! Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai. Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai. Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai. Kaba Dhulhan Hai Turbate At-har Nayi Dulhan Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai. Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai. Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai. Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai. Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai. Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai. Roomi Ghulam Din Habshi Baandiya(n) Shab’e Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai. Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai. Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai. Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai. Amber Zamee(n), Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai. Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai. Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge Sarkar Mei Na LAA Hai Na Hajat Agar Ki Hai. Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai. Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai. Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai. Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai. Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar ki Hai. Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai. Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai. Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai. Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai. Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai. Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai. Mai khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai. Mangta Ka Haath Uth-te Hi Daata Ki Dayn Thi Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai. Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa Ye Aabru ‘Raza’ Tere Damaan e Tar ki Hai
- Mangton Ko Sultan Banaya Naat Lyrics
Mangton Ko Sultan Banaya Mangton Ko Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne Jab Apna Darbaar Lagaya Jab Apna Darbaar Lagaya Mere Pyare Aqa Ne Mal-o-zar Ki Baat Naheen Hai Sab Yeh Karam Ki Baatain Hain Mal-o-zar Ki Baat Naheen Hai Sab Yeh Karam Ki Baatain Hain Jis Ko Chaha Dar Pe Bulaya Jis Ko Chaha Dar Pe Bulaya MerePyare Aqa Ne Jis Per Apna Rang Charhaya Mere Pyare Aqa Ne Jis Per Apna Rang Charhaya Mere Pyare Aqa Ne Daata,fareed Aur Khawja Banaya Pyare Aqa Ne Khud To Thehray Khatam Rasul Ghos Piya Jilani Ko Khud To Thehray Khatam Rasul Aur Ghaus Piya Jilani Ko Walio Ka Sultan Banaya Waiio Ka Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne 12 Rabi Ul Awal Ke Din Noor-e-khuda Ki Kirno Se 12 Rabi Amna Tera Gher Chamkaya Amna Tera Gher Chamkaya Mere Pyare Aqa Ne Jitna Kharch Mai Kerta Jao Utna Barhta Jaye Hai Jitna Kharch Mai Kerta Jao Utna Barhta Jaye Hai Baksh Dia Aisa Sarmaya Baksh Dia Aisa Sarmaya Mere Pyare Aqa Ne Unka Ziker Kartay Kartay Neend Ali Jab Ai Mujhay Unka Ziker Kertay Kertay Neend Ali Jab Ai Mujhay Mujh Ko Apna Jalwa Dikhaya Mujh Ko Apna Jalwa Dikhaya Pyare Aqa Ne Mangton Ko Sultan Banaya Mangton Ko Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne
- Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Naat Lyrics
Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki (Sallallahu alahi wa Sallam)