top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

1338 items found for ""

  • Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Naat Lyrics

    Dhoom Machado  Dhoom Machado Dhoom Machado  Dhoom Machado Dhoom Machado  Dhoom Machado Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thin Haway’n khair Maqdam ke Tarane Gun-Gunati thi’n Abhi Jibril Utre Bhi Na The Kaabe ke Mimbar sey Ke Itne Mein Sada Aayi Abdullah ke Ghar sey Mubarak Ho  Mubarak Ho  Mubarak Ho  Mubarak Ho Mubarak Ho Shahe Har DoSara Tashreef ley Aaye Mubarak Ho Muhammad Mustafa Tashreef ley Aaye Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Assalam Aye Jaane Aalam Assalam Imaan-e-Alam Shahe Deen Sultane Aalam Salawa-Tullahi Alayk Wali-e-Makkah Wali-e-Tayba Aur Duniya ke Wali Aamena Bi key Ghar Aaye hein Mehki Dali Dali Sare Nabi Ye Kehte hein Chalo Jashn Manao Milke Jandey Lagao Sab Galiyan Sajao Sarkar ke Naare Lagao Hai Jashne Nabi Ronak hai Lagi Dil Jaan se Saare Gao Ham Milad Wale hein  Ham Milad Wale hein Zaban Par “Ashraqal-Badru-Alayna”  Ki Sadaein Thi’n Dilon mein “Mada’aa Lillah Daee” Ki Duaein Thi’n Woh Nanihi Bachiyan chhaton par chadh kar daff bajati Thi’n Rasoole Paak ki janib Ishare kar ke gaati Thi’n “Tala-al Badru Alayna Min Sani Yatil Wadaa” “Wajaba-Shukru Alayna Mada’a Lillahi Daee” Key Ham hein Bachiyan Najjar ke Aali Gharane ki Khushi hai Aamena ke laal ke Tashrif lane ki Welcome Welcome Ya Mustafa Welcome Welcome Ya Mustafa Welcome Welcome Ya Mustafa Ye Kehti thi Ghar Ghar mein ja kar Halima Mere Ghar mein KhairulWara aa gaye hein Bade Auj par hai Mera ab Muqaddar Mere Ghar Habeeb-e-Khuda Aa gaye hein Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala Ye kis Shahensha-e-Wala ki Amad Amad hey Ye Kaunse Shahe-Bala ki Amad Amad hey Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Rusool Inhi ka to Mujda Sunane Aaye hein Inhii ke Aane ki Khushiya’n Manane Aaye hein Firishte Aaj jo Dhoomein Machane Aaye hein Inhi’n ke Aane ki Khusiya’n Manane Aaye hein Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Inhe’n Khuda ne kiya Apne Mulk ka Malik Inhi’n ke Kabze mein Rabb ke Khazane Aaye hein Jo Chaheinge Jise Chaheinge Ye Use Denge Kareem hein ye Khazane Lutane Aaye hein Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba Sarkar Ki Amad …. Marhaba Dildar Ki Amad …. Marhaba Aaqa Ki Amad …. Marhaba Data Ki Amad …. Marhaba Huzur ki Amad …. Marhaba Purnoor Ki Amad …. Marhaba Sab Jhoom ke bolo …. Marhaba Sab Mil kar Bolo …. Marhaba Dhoom Machado  Dhoom Machado Dhoom Machado  Dhoom Machado Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Noor se Apne Sarware Alam Duniya Jagmagane Aaye Gham ke Maaron Dukhiyaro’n ko Seene Se lagane Aaye Ashkon se Bhar kar Joliya’n Aankhein Bichha do Raah mein Salle’Ala    ki   do   Sada   Mere   Huzur   Aa   Gaye Marhaba Rasulallah   Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah   Marhaba Rasulallah Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey Aamena Bibi ke gulshan mein aayi hai Taaza bahar Padte hein Sallalallahu Wasallam Aaj Daro Deewar Jibril Aaye Jula Julane Lori de zeeshan Soja Soja Rehmate Aalam Nabiyo’n ke Sultan Assalam Aye Jaane Aalam Assalam Imaan-e-Alam Shahe Deen Sultane Aalam Salawa-Tullahi Alayk Ham Milad Wale hein  Ham Milad Wale hein Nabiyon ke Sultan Aaqa Nabiyon ke Sultan Khalish Muzaffar wo Karte hein Har Mushkil Asan Apne Apne Man ki bipta Unko Sunao Milke Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala “Tala-al Badru Alayna Min Sani Yatil Wadaa” “Wajaba-Shukru Alayna Mada’a Lillahi Daee”

  • Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Naat – Manqabat Lyrics

    Chootey na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan Hai tum pe fida sab tan mann dann Ya Khwaja Moinuddin Hasan Ajmer mujhe pohochaade Khuda Chaadar mai charaahu phoolo ki Yeh sadqa karu tan mann apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan Farzande Ali ho Noor e Nabi Mehboob e Khuda hain zaat teri Ek baar dikha Rauza Apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan Kaaba ho Madinaho ya Najaf har sampt nazar tum aate ho Kuch aisi lagi hai tum se lagan Ya Khwaja Moinuddin Hasan Waliyon ke wali ho tum Khwaja Aur ibne sakhi ho tum Khwaja Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali Ya Khwaja Moinuddin Hasan Aqaa ki atah woh Noor e Ali Zahrah ki kali waliyo ke wali Hasnain ke dil Usmaan ke nayan Ya Khwaja Moinuddin Hasan

  • Madine Ke Wali Madine bulalo Naat Lyrics

    Madine ke wali Madine bulalo Yeh paigam le ja saba jaate jaate Paigam lana meri hajari ka Bhara hai karam maherbaan aate aate Tere dar pe aau mai ban kar sawali Rahe samne tere roze ki jaali Garibo ke maula yateemo ke waali Badi der kar di bulate bulate Mai teri sakhawat pe kurbaan jau Mai kyun na tere dar pe daman bichau Tere haath thakhte nahi kamli waale Karam ke khazane lutate lutate Kabhi Khana e Dil me tashreef laaye Badi der se muntazir hai nigahe Bada saath mera diya aansuo ne Mere dil ka aangan sajate sajate Nigaho me ho sabz gumbad ke jalwe Labo par ho tere inayat ke nagme Shab o Roaz guzre Niyazi ke aaqa Tera zikre anwar sunate sunate Madine ke wali Madine bulalo Yeh paigam le ja saba jaate jaate Paigam lana meri hajari ka Bhara hai karam maherbaan aate aate

  • Taiba ke jaane wale Naat Lyrics

    Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai. Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Jane Wale Taiba Kay Jaane Walay Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara Dono jahan mein iska, hai app hi sahara Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2 Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn, Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn, Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai. Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Teiba Ke Jane Vale Taiba Kay Jaane Walay Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay. Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon. Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay. Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale

  • Zuban se kya ma kahun ap se chupa kya Hai Naat Lyrics

    Zuban se kya ma kahun ap se chupa kya hai Ke aap janta han dil ka majra kya hai Ma a gya hun tuja la ke un ke kucha ma ae mera dil tu bata or chahta kya hai Mujha farishton ne foran whin pe chore dya jo mera aaqa ne pucha ke majra kya hai Wo kya batae ga quran ke ramuzo bayan jise pta he nahi shan e Mustafa kya hai Kaha Khuda ne sir e Hushar Buksh di umat Mera Habib bata or chahta kya hai Suna ke neza pe quran Ali ke payara ne Bata dya ke fana kya hai or Baqa kya hai Broze Hushar ye mezan ye pul sirat Alta Lipat ja aap ke qadmon se sochta kha hai Aaap janta hain dil ka majra kya hai

  • Ya Elahi Rehem Kar Likhde Meri Taqdeer Mein Naat Lyrics

    Ya Elahi Rehem Kar Likhde Meri Taqdeer Mein Rauza-E-Khair-Ul-Bashar Likhde Meri Taqdeer Mein Aey Mere Rab Sheher-E-Makkah Se Madinay Ki Taraf Aana Jana Umar Bhar Likhde Meri Taqdeer Mein Guzray Din Makkay Mein Guzray Shab Madinay Pak Mein Roshni Ka Ye Safar Likhde Mere Taqdeer Mein Jitnay Bhi Aiyaam Hain Ab Baaqi Meri Zeest Ke Ho Madinay Mein Basar Likhde Meri Taqdeer Mein Mein Bhi Bun Jaon Tere Darbar Ka Jaroob Kash Mere Maula Tu Agar Likhde Meri Taqdeer Mein Ye Sada Hai Roz-O-Shab Qalb-E-Al’im-E-Zaar Ki Phir Madinay Ka Safar Likhde Meri Taqdeer Mein

  • Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Naat Lyrics

    Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Aapke Qadmon Ke Neechay Naram Pathar Hogaye Kia Kahoon Allah Ho Akbar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Sust Aur Kamrouh Sawaari Taiz Hojatei Waheen Jab Lagatay Aik Thokar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Isliye Makkah Madina Bungaye Dono Haram Agaye Jab Banda Parwar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Meri Qismat Bhi Khulegi Mere Ghar Bhi Aayeingay Dekhonga Mein Zindagi Bhar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Khaak-e-Paaye-e-Mustafa Ki Khaayei Qur’an Ne Qasam Tayyab-o-Tahir Munawwar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke Kia Makaan Ho La Makaan Tak Chaap Hai Qadmein Ki Sidra-o-Ruf Ruf Se Uppar Paaye Aqdas Aapke Hashr Tak Mitt Ta Nahi Hai Mit Gaya Jou Aap Per Aey Ujagar Thaam Mitt Kar Paaye Aqdas Aapke Taaj Waalon Ke Saron Per Paaye Aqdas Aapke Mein Bhi Choomonga Payambar Paaye Aqdas Aapke

  • Madine se bulawa aa raha hai Naat Lyrics

    Madine se bulawa aa raha hai mera dil mujh se pehle ja raha hai shab-e-furqat se dil ghabra raha hai Madina aap ka yaad aa raha hai yahan marzi nahi chalti kisi ki Madine wala hi bulwa raha ajab hain sabz gumbad ke nazare nigahon ko khuda yaad aa raha hai nawason ka woh sadqah bant te hai zamana unka sadqah kha raha hai mera dil bhi tu apne saath le jaa akela kyoun madine ja raha hai bulaein ge tujhe bhi sarwar-e-deen dil-e-mahmood kyoun ghabra raha hai

  • Meri ulfat madine se youn hi nahi Naat Lyrics

    Meri ulfat madine se youn hi nahi mere aqa ka roza madine mein hai main madine ki janib na kaise khichoun mera deen aur dunya madine mein hai arsh e azam se jis ki barri shaan hai roza e mustafa jis ki pehchaan hai jis ka humpalla koi muhalla nahi eik aisa muhalla Madine mein hai phir mujhe maut ka koi khatra na ho maut kya zindagi ki bhi parwa na ho kaash sarkar ik baar mujh se kahein ab tera marna jeena Madine mein hai jab nazar sue taiba rawana hui saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai main muneer ab rahoon ga yahan kis liye mera saara asasa Madine mein hai

  • Madinay Bulana Humein Jaan E Aalam Naat Lyrics

    Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Paak Ka Hum Nazara Kareingay Waheen Per Jiyeingay Waheen Per Mareingay Waheen Zindagi Bhar Guzara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay Who Jiski Chamak Se Chamakta Hai A’alm Nigahon Ko Roshan Jou Karta Hai Peyhum Muqaddar Se Miljaye Woh Sabz Gumbad Tou Jee Bharke Uska Nazara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay Paregi Muwaja Pe Jis Dum Nigahein Rawa Ashq Hongay Bhareingay Hum Aahein Machaltay Bhilaktay Huay Aapko Hum Dou Aalam Ke Daata Pukara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay Ajab Kaifiyat Uss Ghari Dil Ki Hogi Jabeen Jab Dar-E-Yaar Per Apni Hogi Dua Ye Kareingay Ke Thum Jayein Ghariyaan Yehi Aakhri Buss Nazara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay Kabhi Jaake Dekheingay Jannat Ki Kiyari Woh Mimber Jahan Aab-E-Kausar Hai Jaari Woh Khutbaat-E-Aaqa Ka Pur Kaif Manzar Tasawwur Mein Uska Nazara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay Dar-E-Pak Per Roz Jaya Kareingay Sa’dat Ki Me’raj Paya Kareingay Yunh Imaan Har Roz Apna Musafir Sanwaara Kareingay Nikhara Kareingay Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay

  • Chand taare hi kya dekhte rehgae Naat Lyrics 

    Chand taare hi kya dekhte rehgae Un ko arz O sama dekhte rehgae Padh ke ruhul amee surae wadduha Surat e mustafa dekhte rehgae Oh gae arsh tak or ruhul amee Sidrat ul muntaha dekhte rehgae Oh imamat ki shab or saf e ambiya Muqtadi muqtada dekhte rehgae Nek o bad par hua un ka yaksa karam Log achcha bura dekhte rehgae Kya khabar kis ko kab jam e kosar mila Ham to un ki adaa dekhte rehgae Ho ke gum ae naseer un ke jalwo me ham Shan e rab ul ulaa dekhte rehgae

  • Abr e Karam Gesoo E Muhammad صلى الله عليه وسلم Naat Lyrics

    Abr e Karam Gesoo E Muhammad Donu Haram Abroo E Muhammad Sab ki Nazar hay Soo E Ka’bah Ka’bah takay hay Roo E Muhammad Ka’bay ko kis ne banaya Qiblah Ka’bay ka Ka’bah Roo E Muhammad Sajda E Sar hay Soo E Ka’bah Sajda-e-Dil hay Soo E Muhammad Saaray Chaman mein kis ki Khushboo Khushboo hay Khushboo E Muhammad Kis ki Chamak hay Paykar E Gul mein Gul mein Khila hay Roo E Muhammad Dhaaray chalay har Ungli se Unki Dekho wo Nikli Joo E Muhammad Sab se Anokha Moo E Muhammad Sab se Niraali Koo E Muhammad Kis ka Moo deta hay Gawahi Moo E Muhammad Moo E Muhammad Zinda hay Wallah Zinda hay Wallah Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad Rashk E Tayba kia hay dikhaun? Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad Bheeni Bheeni Khushboo Lahki Khul gaey jab Gesoo E Muhammad ye raah Mahki woh raah mahki Khul gaey jab Gesoo E Muhammad Akhtar E Khasta Chal de Jinaan ko Baag E Jinaan hay Koo E Muhammad

bottom of page