top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

1338 items found for ""

  • Ham Faqiroon ko Madine ki Gali Achi lagi

    Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagiHam faqiroon ko Madine ki galli achi lagi Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar Mujh ko ku’ey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chakari achi lagii Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi

  • Aaj tak koi Musafir nahin bhatka Tera

    Aaj tak koi Musafir nahin bhatka Tera Sidha Manzil ki taraf jata hai Rasta Tera Har Musibat Meri ek aan mein tal jati hai Raat Din padti hun jabse Mein wazifa Tera Noor se Tere Munawwar hai ye sara Aalam Har taraf Noor bikhere hai ujala Tera Mere hothon ka tarana hai fakat Salle-Ala Aur Aankhon mein bikhere hai ujala Tera Sadiya Qalbo Nazar ho gaye Mere Roshan Naam Jis waqt Mere Aaqa pukara Tera

  • Tere sadqe se chalti hein sanse Meri

    Allahumma Salle Ala Sayyidina MuhammadinAllahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Tere sadqe se chalti hein sanse Meri Tere Nazre Karam se mili har khushi Izzaatein Rif’atein hein Tere zikr se Mein to kuchh bhi nahin Teri Rehmat ke bin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Sabse Ola wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Bazme Aakhir ka Sham’a faroza hua Noore Awwal ka jalwa Hamara Nabi Buj gayi jiske aage sabhi Mash’alein Sham’a wo lekar aaya Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Khalq se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se Aala Hamara Nabi Qarno badli Rasoolon ki hoti rahi Chand badli ka nikla Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Jiski Do bund hein Kausaro Sal-Sabil Hai Wo Rehmat ka dariya Hamara Nabi Kaun deta hai dene ko Munh chahiye Dene wala hai saccha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Jiske Talwon ka dhowan hai aabe hayat Hai wo jaane Masiha Hamara Nabi Jaise sab ka Khuda Ek hai waise hi Inka Unka Tumhara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Sab chamak wale ujlon mein chamka diye Andhe Shishon mein chamka Hamara Nabi Gham-zadon ko Raza Muzda dijiye ke hein Be-ksaon ka Sahara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin

  • Mere Nabi Pyare Nabi Hai  Martaba Aala Tera 

    Mere Nabi Pyare Nabi Hai Martaba Bala TeraJis jaa koi pahuncha nahin Pahuncha wahan talwa Tera Khairat deta hai Khuda Har waqt Tere Naam ki Jisko Mila jo kuchh Mila Jitna Mila Sadqa Tera Tera Sarapa Ya Nabi Tafseer hai Qur’aan ki Wallayl zulf Taha zabeen Wasshams hai chehra Tera Rehmat thi pure josh par Mein bhi na tha kuchh bekhabar Tujh se Tujhi ko mang kar acchha raha mangta Tera Ya Mustafa Ya Mujtaba Bhar dijiye kaasa Mera Kardo Karam rakhlo bharam saeel hun mein data Tera Siddiq ka Farooq ka sadqa mile Usman ka Maula Ali ka waeta Mein dekhlun Roza Tera

  • Sarwar Kahoon Ke Maalik-o Mawlaa Kahoon Tujhe

    Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe! Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe! Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe

  • Mujhe Dar Pe Phir Bulana Madani Madine Wale

    Mujhe Dar Pe Phir Bulana Madani Madine Wale Ma E Ishq Bhi Pilaana Madani Madine Wale Meri Aankh Me Samaana Madani Madine Wale Bane Dil Tera Thikaana Madani Madine Wale Teri Jab Ke Deed Hogi Jabhi Meri Eid Hogi Mere Khwaab Me Tum Aana Madani Madine Wale Mujhe Sab Sataa Rahe Hain Mera Dil Dukha Rahe Hain Tumhi Hausla Badhaana Madani Madine Wale Mere Sab Azeez Choote Mere Yaar Bhi To Roothe Kahi Tum Na Rooth Jaana Madani Madine Wale Mai Agar Che Hoon Kameena Tera Hoon Shahe Madina Mujhe Seene Se Lagaana Madani Madine Wale Tere Dar Se Shaha Behtar Tere Aastaan Se Badhkar Hai Bhala Koi Thikaana Madani Madine Wale Tera Tujh Se Hoon Sawaali Shaha Pherna Na Khali Mujhe Apna Tum Banaana Madani Madine Wale Ye Mareez Mar Raha Hai Tere Haath Me Shifa Hai Aye Tabeeb Jald Aana Madani Madine Wale Tu Hi Ambiya Ka Sarwar Tu Hi Do Jahaan Ka Yaawar Tu Hi Rehbare Zamaana Madani Madine Wale Tu Hai Be Kason Ka Yaawar Aye Mere Ghareeb Parwar Hai Sakhi Tera Gharaana Madani Madine Wale Tu Khuda Ke Baad Behtar Sabhi Se Mere Sarwar Tera Haashmi Gharaana Madani Madine Wale Teri Farsh Par Huqumat Teri Arsh Par Huqumat Tu Shehenshah E Zamaana Madani Madine Wale Tera Khulq Sab Se A’ala Tera Husn Sab Se Pyaara Fidaa Tujh Pr Sab Zamana Madani Madine Wale Kahoon Kis Se Aah Jaakar Sune Kaun Mere Dilbar Mere Dard Ka Fasaana Madani Madine Wale Mai Ghareeb Be Sahara Kahaan Aur Hai Guzaara Mujhe Aap Hi Nibhaana Madani Madine Wale Ye Karam Bada Karam Hai Tere Haath Me Bharam Hai Sare Hashr Bakhshwaana Madani Madine Wale Kabhi Jau Ki Moti Roti To Kabhi Khajoor Pani Tera Aisa Saada Khana Madani Madine Wale Hai Chatayi Ka Bichona Kabhi Khaak Hi Pe Sona Kabhi Haath Ka Sir-Haana Madani Madine Wale Teri Saadgi Pe Laakhon Teri Aajizi Pe Laakhon Ho Salaame Aajizaana Madani Madine Wale Mile Naza Me Raahat Rahoon Qabr Me Salaamat Tu Azaab Se Bachana Madani Madine Wale Aye shafi e roz e mehshar! Hai gunaah ka bojh sar par Mai Phasaan Mujhe Bachaana Madani Madine Wale Mere shaah! Waqte rukhsat mujhe meetha meetha sharbat Teri Deed Ka Pilaana Madani Madine Wale Pas Marg Sabz Gumbad Ki Huzoor Thandi Thandi Mujhe Chaoon Me Sulaana Madani Madine Wale Mere Walidain Mehshar Mein Go Bhool Jaye Sarwar Mujhe Tum Na Bhool Jaana Madani Madine Wale Shaha Tangi Badi Hai Yahaan Dhoop Bhi Kadi Hai Shahe Hauze Kausar Aana Madani Madine Wale Mujhe Aafaton Ne Ghera Hai Musibaton Ka Dera Ya Nabi Madad Ko Aana Madani Madine Wale Mera Seena Ho Madina Mere Dil Ka Aabgeena Bhi Madina Hi Banaana Madani Madine Wale Aye Habeebe Rabbe Baari Hai Gunaah Ka Bojh Bhari Tumhi Hashr Me Chchudana Madani Madine Wale Meri Aadatein Ho Behtar Banu Sunnaton Ka Paikar Mujhe Muttaqi Banaana Madani Madine Wale Shaha Aisa Jazbaa Paau Ke Mai Khoob Seekh Jaau Teri Sunnate Sikhaana Madani Madine Wale Tere Naam Par Ho Qurbaan Meri Jaan Jaane Jana Ho Naseeb Sar Kataana Madani Madine Wale Teri Sunnaton Par Chal Kar Meri Rooh Jab Nikal Kar Chale Tum Gale Lagaana Madani Madine Wale Hai Muballigh Aaqa Jitne Karo Door Unse Fitne Buri Maut Se Bachaana Madani Madine Wale Mere Ghous Ka Waseela Rahe Shaad Sab Qabeela Inhe Khuld Me Basaana Madani Madine Wale Mere Jis Qadar Hai Ahbaab Inhe Karde Shaha Betaab Mile Ishq Ka Khazaana Madani Madine Wale Meri Ane Wali Naslen Tere Ishq Hi Me Machlen Unhe Nek Tum Banaana Madani Madine Wale Mile Sunnaton Ka Jazbah Mere Bhai Chchode Maula Sabhi Dadiyaan Mundaana Madani Madine Wale Mere Jis Qadar Hai Behne Sabhi Kaash Burqa Pehne Ho Karam Shahe Zamaana Madani Madine Wale Do Jahaan Ke Khazane Diye Haath Me Khuda Ne Tera Kaam Hai Lutaana Madani Madine Wale Teri Gham Me Kaash Attar Rahe Har Ghadi Giraftaar Ghame Maal Se Bachaana Madani Madine Wale

  • Taibah rashk e jinah khuld zaar Allah Allah Allah

    Jis tarah dekhiye hai bahar Allah Allah Allah Yahan raat deen hai farishte utarte Mazar E Nabi per salam arza karte Merhaba Roza E Tajdar Allah Allah Allah Tabassum may unke hai jannat ki kunji, Ishare may unke shafa-at ki kunji Shafa-o-maunis-o gamgushar Allah Allah Allah Sana unki aayat e qur-an may aayi, Unhi ke liye rab ne duniya banayi, Hai wohi rehmat-e-kirdigar Allah Allah Shafa-at ka shehra bandha unke sar per, Kiya rab ne unko ataa houz-e-kausar, Unka hai khuld per ikhtiyar Allah Allah Allah Sabhi ambiya ko hai haajat unhi ki, Hai bakshish ka saman inayat unhi ki, Mere aaqa ki hai sab bahar Allah Allah Allah Unhe gaib ka ilm rab ne diya hai, Khazano ka MUKHTAR unko kiya hai, Hai wohi QASIM E ROZGAR Allah Allah Allah Woh mairaajwale, Wohi raajwale, Woh minhaajwale, Wohi taajwale, Jannato ke wohi sehr-e-yaar Allah Allah Allah Sadaqat unhi ki, adalat unhi ki, Sakhawat unhi ki, Shuja-at unhi ki Hai wohi taajwar taajdar Allah Allah Allah Wohi sarwar-e-kishwar-e-mursala hai, Woh mamdooh-e-qur-an, Woh ima-n ki jaan hai, Unke awsaf hai beshumar Allah Allah Allah Woh ikhlaswale, woh ikhlaqwale, Woh ejazwale, woh misaqwale , Shan-e-rabzi hashma bawaqar Allah Allah Allah Fashat may yakta balagat may yakta Nabuwat may yakta, risalat yakta, Aap hai yaka-e-rozgar Allah Allah Allah Padho NAZMI unki sana padhte jao, Har ek saans salle ala padhte jao, Wajda may jhoomkar bar-bar Allah Allah Allah

  • MUJE RANG DE MUJE RANG DE

    Muje Rang De Muje Rang De Maula Maula Muje Rang De Maula Tu Karim Hai Tu Rahim Teri Zaat Sab Se Azim Hai Nahi Tujsa Koi Bhi Dusra Tu Qabir Hai Tu Alim Hai. Ye Latafate Ye Inayate Hai Tere Karam Ki Wazahate Jo Chaman May Hai To Nasim Hai Jo Gulo May Hai To Shamim Hai Tu Baid Bhi Tu Qarib Bhi Tu Muhib Bhi Hai Tu Habib Bhi Tu Hararate Dil-e-Ashiqan Tu Nishan-e-Aql-e-Salim Hai Tu Hai Raazdan Sabhi Baat Ka Tu Hai Rang Bazm-e-Hayat Ka Kahin Shan-e-Khalk-e-Muhammadi Kahin Husn-e-Nutq-e-Kalim Hai Tu Habib Bhi Tu Hafiz Bhi Tu Rahim Bhi Tu Karim Hai Tu Bashir Bhi Tu Nasir Bhi Tu Kabir Hai Tu Halim Hai. Tu Mere Khayal Ke Gulshano May Basa Misal-e-Shamim Hai Tu Mere Yaqeen Ki Wusaton May Khiram-e-Mauj-e-Nasim Hai Hai Dua-e-Bismil-e-Mim Jaa(n) Ke Meri Khatao Ke Baksh De Hai Muje To Tera Hi Asra Tu Halim Hai Tu Rahim Hai. Muje Rang De Muje Rang De Maula Maula Muje Rang De Maula

  • Ya Shahe Bahr o bar Ho karam Ki Nazar

    Ya Shahe Bahr o bar Ho karam Ki Nazar Thokare kha ke girna mera kaam hai Har qadam par uthana tera kaam hai Saqiya jaan qurban tere jaam par Ho nigah e karam apne khudam par Chorh di ham ne kashti tere naam par Chorh di, chorh di, chorh di, chorh di Chorh di ham ne kashti tere naam par Ab kinare lagana tera kaam hai Thokare kha ke girna mera kaam hai Har qadam par uthana tera kaam hai Mori Sarkar sab ke tamana karo Har bikari ki data jo ki jholi bhar do Noor Taiba se rote tarapte hain jo Un ko dar par bulana tera kaam hai Saqiya jaan qurban… Tu ne katre ko dekha to ghar kar diya Tu ne zarre ko dekhe to zar kar diya Tu ne habashi to rashk e Qamar kar diya x 2 Unka sooraj veerana tera kaam hai Tere qadmoun mein ana mera kaam tha Meri qismat jagana tera kaam hai Meri ankhon ki hai deed ki arzo Rukh se parda uthana tera kaam hai Teri chokat kahan aur kahan yeh jabeen Tere faiz o karam ki to hadd hi nahi Jis ko dunya mein na koi apna ka hai Us ka banana tera kaam hai Ik nigah e karam ho yehi meri laaj hai Laaj meri nibhana tera kaam hai Zehan tere tasawwur ka mohtaaj hai Mere dil mein teri yaad ka raaj hai, mere murshid Mere dil ko jagana tera kaam hai

  • Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

    Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj Warafa’na ka Husn-e-mujassam Allahu akbar Subh-e-azzal hai Mukhra un ka Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar Mehndi lagaon ghar ko sajaon Main angan mein naachon gaaon Tann mann waaron Unke Charan par Aao sakhio mill kar gayein Apne Piya ka jashn manayein Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Rim jhim barse noor ki barkha Aaya hai mi’raj ka Dulha Dharti aur aakaash se behtar Dosh pe youn Gesu lehraye Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar Amina Bi ka Raaj Dulara Kitna anokha kitna pyaara Chaand uttar aaya hai zameen par Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Naghma tha har eik ki zuban par Tall jaayegi saari musibat Aa jaye ga dor-e-rahat Ab to mujhe dekheinge nazar bhar Anjum bekass Aap ka mangta Dijiye bakshish jagg ke Data Boond hoon main aur Aap samandar Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

  • Rehemat ka dar khula hai Darbar e Mustafa me

    Rehemat ka dar khula hai Darbar e Mustafa me Bakhshish ka silsila hai Darbar e Mustafa me Khamoshiyo ko meri sunte hai Sarwar e Deen Bin maange mil raha hai Darbar e Mustafa me Ab dil ki dhadkane hai Sarkar ke hawaale Aawaz kab rawa hai Darbar e Mustafa me Subh o Masa farishte aate hai haazri ko Noorani qafla hai Darbar e Mustafa me Ek bheeni bheeni khushboo saanso me bas gayi hai Dil bhi mehak raha hai Darbar e Mustafa me Mai arz kar raha hu sarkar sunn rahe hai Kaisa haseen samaa hai Darbar e Mustafa me Salle Ala Nabiyyina Salle Ala Muhammadin Sab ki yahi sadaa hai Darbar e Mustafa me Kaisi azeem neh’mat paayi hai tune Rizwan Tu naat padh raha hai Darbar e Mustafa me

  • Ya Nabi Salam alaika New Andaz (New Tarz) Owais Razvi Qadri

    Download Mp3https://naatacademy.com/wp-content/uploads/2016/12/New-Andaaz-Yanabi-Salam-NaatAcademy-Live-تمام-عالم-اسلام-کو-جشنِِ-عید-میلاد.mp3 Like & Share Page https://www.facebook.com/owaisrazvi/

bottom of page