Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe
Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe
Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe
Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe
Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe!
Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe!
Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe
Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe
K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe
Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe