Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Na kabe ki zameen dekhi na pahunchi mein madine mein Suna hai noor ki barsat hoti hai madine mein Ilahi ! ek chhinta aa lage ham sab ke sine mein Muhammad is tarha tashrif farman hein madine mein Ke jaise sura e yaseen ho qur’aan ke sine mein Muhammad ki judai aag bhadkati hai sine mein Rawan jab dekhti hun kafile hajj ke mahine mein Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Na kabe ki zameen dekhi na pahunchi mein madine mein
top of page
نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
Recent Posts
See Allمقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...
bottom of page