top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Nara E Ishq Labbaik Ya Rasool Allah

Naray E Ishq Labbaik Ya Rasool Allah

Kafan badosh, nikalne ka waqt aaya hai Nizaam-e-zulm, badalne ka waqt aaya hai

Lahu, jo dour raha hai rag-e-muhabbat main Usi lahu ke ubalne ka waqt aaya hai

Hatheliyon pe jalao bahaduri ke chiragh Jafa ki raat ke talne ka waqt aaya hai

Khule jo sarwar-e-kaunain ki ahaanat main Usi zubaa’n ko kuchlane ka waqt aaya hai

Sada lagaiye, labbaik ya Rasool Allah Ghurur-e-kufr, pighalne ka waqt aaya hai

Wahi chiragh jo roshan hoye the badr ki raat Unhi chiraghon ke jalne ka waqt aaya hai

Bilal jaisi ravish ho to koyi baat bane Tahe niyam, machalne ka waqt aaya hai

Hunar dikhaiye, duniya ko sarfaroshi ka Junun e ishq main dhalne ka waqt aaya hai

Sabhi ke hath main ho, ittihaad ki mash’al Isi ujaale main chalne ka waqt aaya hain

Qadam barhaiye ek dusre ka thaam ke hath Humain ab aur sambhalne ka waqt aaya hai

Khizaa’n ka daur hai aur bagh -e-ishq hai be aab Lahu se sinchon! Ke phalne ka waqt aaya hai

Faridi! Taushaye esaar tu bhi kar tayyar Naye safar pe nikalne ka waqt aaya hai

Az Fareedi Siddiqui Misbaahi Masqat Umaan

نعرۂ عشق لبیک یا رسول اللہ

کفن بَدوش ، نِکلنے کا وقت آیا ہے نِظامِ ظُلم ، بدلنے کا وقت آیا ہے

لہو ، جو دوڑ رہا ہے رگِ محبّت میں اُسی لہو کے اُبلنے کا وقت آیا ہے

ہتھیلیوں پہ جلاؤ بہادری کے چراغ جفا کی رات کے ٹلنے کا وقت آیا ہے

کُھلے جو سرورِ کونین کی اہانت میں اُسی زباں کو کُچلنے کا وقت آیا ہے

صدا لگائیے ، لبّیک یارسول اللہ غرورِ کفر ، پگھلنے کا وقت آیا ہے

وہی چراغ جو روشن ہوئے تھے بَدر کی رات اُنہی چراغوں کے جَلنے کا وقت آیا ہے

بلال جیسی رَوِش ہو تو کوئ بات بنے تہِ نیام ، مچلنے کا وقت آیا ہے

ہُنر دکھائیے ، دنیا کو سَرفروشی کا جنونِ عشق میں ڈھلنے کا وقت آیا ہے

سبھی کے ہاتھ میں ہو ، اِتّحاد کی مِشعل اِسی اُجالے میں چلنے کا وقت آیا ہے

قدم بڑھاییے اک دوسرے کا تھام کے ہاتھ ہمیں اب اور سنبھلنے کا وقت آیا ہے

خزاں کا دور ہے اور باغِ عشق ہے بے آب لہو سے سینچو ! کہ پَھلنے کا وقت آیا ہے

فریدی ! توشۂ ایثار تو بھی کر تیار نئے سفر پہ نِکلنے کا وقت آیا ہے

از فریدی صدیقی مصباحی مسقط عمان

Https://instagram.com/naatacademy

Home

Https://wa.me/919892327786

41 views
bottom of page