Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Ik tera naam waseela hai mera Ranj o Gum me bhi issi naam se rahat hogi
Yeh suna hai ke bohot ghor andheri hogi Qabar ka khowf na rakna aye dil Waha Sarkar ke chehre ki ziyarat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi
Unko Mukhtar banaya hai mere Maula ne Khuld me bas wahi ja sakta hai Jisko Hasnain ke baba ki ijazat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi
Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga Zulf lehra ke woh jab aayenge Phir Qayamat me bhi ik aur Qayamat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi
Mera daaman toh gunaho se bhara hai Altaf Ik sahara hai ke mai unka hu Issi nisbat se Sar e Hashr Shifa`at hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi
Yeh naam koi kaam bigharne nahi deta Bhigri bhi bana deta hai bas Naam e Mohammad Ik tera naam waseela hai mera Ranj o Gum me bhi issi naam se rahat hogi