Mujhpe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna Haq toh mera bhi hai rehmat ka takaaza karna
Tu kisi ko uthata nahi apne dar se Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna
Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna
Mai ke zarra hu mujhe wusate sahara dede Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna
Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna
Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom Woh tera halqaye ashaab me baitha karna
Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna