Meri ulfat madine se youn hi nahi mere aqa ka roza madine mein hai main madine ki janib na kaise khichoun mera deen aur dunya madine mein hai
arsh e azam se jis ki barri shaan hai roza e mustafa jis ki pehchaan hai jis ka humpalla koi muhalla nahi eik aisa muhalla Madine mein hai
phir mujhe maut ka koi khatra na ho maut kya zindagi ki bhi parwa na ho kaash sarkar ik baar mujh se kahein ab tera marna jeena Madine mein hai
jab nazar sue taiba rawana hui saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai main muneer ab rahoon ga yahan kis liye mera saara asasa Madine mein hai