Mein madine chala Mein madine chala Madine chala Madine chala Madine chala
Madine ne se bulawa aa raha hai Mera dil mujse pahele jaa raha hai Mein madine chala Mein madine chala Mein madine chala Mein madine chala Mein madine chala Mein madine chala Fir karam ho gaya mein madine chala
Kaif sa chha gaya mien madine chala Masto bekhud bana mein madine chala Mein madine chala ………. Zahe kismat madine jaa raha hun Sa’adat kesi aala paa raha hun Mere yaaron zara mujko sambhalo Khushi se mein to machla jaa raha hun Kya bataun mili dil ko kesi khushi Jab ye muzda suna mein madine chala Mein madine chala ………. Hamko apni talab se siwa chahiye Aap jaise hein wesi ata chahiye Kyun kahun ye ata wo ata chahiye Unko malum hai hamko kya chahiye Bharke joli meri mere sarkar ne Muskura kar kaha aur kya chahiye Hath uthte rahe mujko dete rahe Wo talab se siwa mein madine chala Mein madine chala ……….. Kitna roshan madine ka darbar hai Zarra zarra waha ka to mahtab hai Hai mu’attar mu’attar wahan ki faza Tum chalo na chalo mein chala mein chala Mere aaqa ka dar hoga peshe nazar Chahiye aur kya mein madine chala Mein madine chala ……….. Jab gumbade khazra pe wo paheli nazar gayi Aankhon ke raste mere dil mein utar gayi Gumbade sabz par jab padegi nazar Kya surur aayega mein madine chala Mein madine chala ……….. Haram ki zameen aur kadam rakh ke chalna Are sar ka mauka hai ohh jaane wale ! Mere gande kadam aur unka haram Laaj rakhna khuda mein madine chala Mein madine chala ……….. Jisne madine jana karlo tayyariyan Beda madine wala lendha fe tariyan Kya karega idhar bandh rakhte safar Chal Ubaide Raza mein madine chala Mein madine chala ………..