Madine ke wali Madine bulalo Ye paigam le ja saba jaate jaate Paigam lana meri hajari ka Bhara hai karam maherbaan aate aate Tere dar pe aau mein ban kar sawali Rahe samne tere roze ki jaali Garibon ke maula yateemon ke waali Badi der kar di bulate bulate Mein teri sakhawat pe kurbaan jaaun Mein kyun na tere dar pe daman bichhaun Tere hath thakhte nahi kamli wale Karam ke khazane lutate lutate Kabhi khanae dil mein tashrif laayen Badi der se muntazir hein nigahen Bada sath mera diya aanshuon ne Mere dil ka angan sajate sajate Nigahon mein ho sabz gumbad ke jalwe Labon par ho tere inayat ke nagmein Shabo roz guzre Niyazi ke aaqa Tera zikre anwar sunate sunate Madine ke wali Madine bulalo Ye paigam le ja saba jaate jaate Paigam lana meri hajari ka Bhara hai karam maherbaan aate aate
top of page
نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
Recent Posts
See Allمقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...
bottom of page