Hamaray Aaqa Hamaray Moula Imam E Azam Abu Hanifa Hamaray Muljaa Hamaray Maa’Wa Imam E Azam Abu Hanifa
Tum Hi Ko Maana, Tum Hi Ko Jana, Tumhi Tou Sub K Imam Thehray Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Zamanay Bhar Ne Zamanay Bhar Mein Bohat Tajassus Kia Hay Lekin Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Tumharay Aagay Tamam Aalam Na Kiun Karay Zaano E Adab Kham Kay Peshwayaan-E-Deen-E-Baala Imam E Azam Abu Hanifa
Na Kiun Karain Naaz Ahlesunnat Kay Tum Se Chamka Naseeb-E-Ummat Siraj E Ummat Mila Ho Tumsa Imam E Aazam Abu Hanifa
Hua Uloo Al-Amr Se Ye Sabit Kay Teri Taa’At Zaroor Wajib Khuda Ne Tum Ko Kia Hamra Imam E Azam Abu Hanifa
Siraaj Tu Hay Baghair Teray Jo Koi Samajhe Hadees O Quraan Phiray Batakhta Na Paaey Rasta Imam E Azam Abu Hanifa
Jo Teri Taqleed Shirk Hoti, Muhaddiseen Saaray Hotay Mushrik Bukhaari-O-Muslim Ibn Majah Imam E Azam Abu Hanifa
Ye Jitnay Fuqaha Muhaddiseen Hain, Tmharay Khirman Se Khosha Cheen Hain Wo Wastay Se Ye Bay Waseela Imam E Azam Abu Hanifa
Khabar Le Ae Dastageer E Ummat Hay Saaiq E Be Khabar Pe Shiddat Wo Tera Ho Kar Phiray Bathakta? Imame Azam Abu Hanifa