Hai zikr mere lab par har subho shaam tera Main kya hu saari khalqat leti hai naam tera
Har cheez ka tu naazir har har makaan mein haazir Zaahir me hai agarche Taiba maqaam tera
Jab qabr mein farishte poochenge tu hai kis ka Nikle meri zabaan se ya Shah naam tera
Noorani jaaliya mein tashreef rakhne wale Tadpa kare kaha tak hindi ghulam tera
Chauthe falak pe Isaa aur toor par the Moosa Kursiyaan Arsh se hai baala maqaam tera
Kya khoob ho jo mujhse aakar saba ye kehde Pohcha diya hai maine Shah ko salaam tera
Aye lambe lambe haathon se bheek dene waale Mujhko bhi koi tukda hai joodo aam tera
Woh din Khuda dikhaye tujh ko Jameele Razvi Ho jaaye unke dar pe kissa tamaam tera