top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

FALAK KE NAAZARO ZAMEEN KI BAHAARO

Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Bahaaro Sub Eidein Manao Huzoor Agaye Hain

Uttho Bay Saharo Chalo Gham Ke Maaro Khabar Ye Sunao Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Anokha Niraala Woh Zee Shaan Ayaa Woh Saray Rasoolaun Ka Sultan Ayaa Aray Kaj Kula’ho Aray Baadshaho Nigahein Jhukao Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Huwaa Char Su Rahmataun Ka Ba’sayra Ujaala Ujaala’ Sawera, Sawera Halima (R.A) Ko Pohnchi Khabar Aaminah (R.A) Ki Mere Ghar Main Aao, Huzoor Agaye Hain

Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Hawaun Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke Fazaun Mein Naghmaat Salle’Alla Ke Daroodaun Ke Gajrey, Salamaun Ke Tohfay Ghulamo Sajaao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Sama Hai Sana E Habeeb E Khuda Ka Ye Meelad Hai Sarwaray Ambiya Ka Nabi Ke Gadao Sub Ek Doosre Ko Khabar Ye Sunao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Kahaan Mai Zahuri Kahaan Unki Batein Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Ratein Jahaan Par Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao Yahi Kehte Jaao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

12 views

Recent Posts

See All

شہر نبی ﷺ تیری گلیوں کا

Shehre Nabi ﷺ Teri Galiyo Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai Dil Ko Sukun De Aankh Ko...

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام دنیا کے بادشہ بھی اسی در کے ہیں غلام تیرا غلام وہ کہ جو شاہوں کو بھیک دے نسبت نے دے دیا ہے بلندی کا...

bottom of page