Dono Aalam ke Sarkar aa Jayiye
- Naat Academy
- Apr 24, 2017
- 1 min read
Behre deedar mushtaq hai har nazar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Chandni raat hai aur pichla pahar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
Sidratul muntaha arsho baagh e iram Hr jaga par chuke hain nishane qadam Ab to ik baar apne ghulamo k ghr dono alam k sarkar ajaiye Ab to ajaiye ab to ajaiye
Mere gulshan ko ik baar mehkaiye Apne jalwo ki baarish me nahalaiye Deeda e Shauk ko kijiye paarwar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
Saamne jalwagar Paikar e Noor ho Munkiro ka bi Sarkaar shak door ho Karke tabdeel ik din Libaas e Bashar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
Shaam e umeed ka ab sawera huwa Suu e Taiba nigaho me dera huwa Bichh gaye raah me farsh Qalb o Jjigar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
Aakhari wakt hai ek bimaar ka Dil machal ne laga shoke deedar ka Buj na jaaye kahin ye charage sahar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
Shaam e ghurbat hai aur, sheher khamosh hai Eik Arhsad akela kafan poshhai Khauf ki hai ghari waqt hai purkhatar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye